Mar 6, 2015

Hamara saahil se koi wasta nahin raha


Hamara saahil se koi wasta nahin raha 
Manzil ko janay ka koi raasta nahin raha 

Talaash kar kay thak gaye hain us haseena ko 
Us ka bhi hum se koi raabta nahin raha

Sitam yeh hai keh hum bhi rahay naqas-ul-aqal 
Shayed isi liye us ka koi aasra nahin raha

Dil to karta rehta hai Aah-o-fagaan aksar 
Magar is se milnay ka koi dilaasa nahin raha 

Ab bujh gaya hai umeedon ka chragh Anjum
Hamara apna bhi koi laadla nahin raha 

Hijar ki shab ka kisi ism se katna mushkil


Hijar ki shab ka kisi ism se katna mushkil
Chand poora hai to phir dard ka  ghatna mushkil 

Moja-e-khwaab hai woh , us kay thikanay maloom 
Ab gaya hai to yeh samjho palatna mushkil

Jin darakhton ki jarrain dil main utar jaati hain 
Un ka aandhi ki daraanti se bhi katna mushkil 

Quwat-e-gham hai jo is tarah sambhalay hai mujhay 
Warna bikhron kisi lamhay to sametna mushkil

Us se miltay huye chehray bhi bhout honay lagay 
Shaher kay shaher se ik saath nimatna  mushkil

Ab kay bhi khoshon pe kuch naam thay pehlay se likhay 
Ab kay bhi fasal ka deh'kaano main batna mushkil

Parveen shakir

Baja keh aankhon main neend kay sil'salay bhi nahin


Baja keh aankhon main neend kay sil'salay bhi nahin

Shakist-e-khwaab kay ab mujh main hoslay bhi nahin 

NAhin nahin ! yeh khabar dushmano ne di ho gi 

Woh aaye aa kay chalay bhi gaye milay bhi nahin 

YEh kon log andheron ki baat kartay hain 

Abhi to chand teri yaad kay dhalay bhi nahin 

Khafa agarcha hamesha huye magar ab kay 

Woh bar'hami hai keh hum se unhain gilay bhi nahin

Sehraa ki tarah rehtay huye thak gayein aankhein


Sehraa ki tarah rehtay huye thak gayein aankhein 

Dukh kehta hai ab koi dariya bhi to dekhon 

YEh kya keh woh jab chahye mujhay cheen lay mujh se 

Apnay liye woh shakhs tarapta bhi to dekhon

Tum subha ka tara lagtay ho , ik noor ka dhaara lagtay ho


Tum subha ka tara lagtay ho , ik noor ka dhaara lagtay ho 

Yeh phool chragh kahan tum se, tum chand sitara lagtay ho

Meray shaher se guzra hai woh badal ki tarah


Meray shaher se guzra hai woh badal ki tarah 
Dast-e-gul phaila hua hai meray aanchal ki tarah 

Keh raha hai kisi mousam ki kahani ab tak 
Jism barsaat main bheegay huye jungle ki tarah hai 

Oonchi awaz main us ne to kabhi baat na ki 
Khafgiyon main bhi woh lehja komal ki tarah 

Mil kay us shakhs se main laakh khamoshi se chalon 
Bol uth'ti hai nazar paaon kay cha'ghal ki tarah 

Paas jab tak woh rahay dard tham'ta rehta hai 
Phailtaa jata hai phir Aankh kay kajal ki tarah 

Ab kisi tor se ghar janay ki surat hi nahin 
Raastay meray liye ho gaye daldal ki tarah 

Jism kay tehra-o-asaib zada mandir main 
Dil sar-e-shaam sulag uth'ta hai sandal ki tarah

Kabhi zindagi main agar akelay ho


Kabhi zindagi main agar akelay ho 
Aur dard had se guzar jaye 
Aankhein teri 
Baat'be'baat ro parein 
TAb koi ajnabi 
Teri tanhai kay chaand ka narm haala banay 
Teri qamat ka saaya banay 
Teray zakhmon ka saaya banay 
Teri palkon se shabnam chunay 
Teray dukh ka maseeha banay 

Parveen shakir

Wohi mantazir nigahein , wohi shaam-e-gham ka aalam


Wohi mantazir nigahein , wohi shaam-e-gham ka aalam 

Hum azal se dekh rahay hain teri wapisi ki raahein

Dekhta hoon keh koi pursaan nahin ghareebon ko



Dekhta hoon keh koi pursaan nahin ghareebon ko

Sochta hoon keh mujhay jeenay ka haq hai bhi keh nahin

Udaas tha is qadar keh soya nahin raat bhar


Udaas tha is qadar keh soya nahin raat bhar

Palkon se likh raha tha tera naam chaand par

Kabhi aaye ga ussay hamara bhi khayal


Kabhi aaye ga ussay hamara bhi khayal 

Shayed yeh bhi hamara hi khayal hai

Chiriya poori bheeg chuki hai


Chiriya poori bheeg chuki hai 

Aur darakhat bhi pata pata tapak raha hai 

Ghonsala kab ka bikhar chuka hai 

Chiriya phir bhi cheh'hek rahi hai 

Ang ang se bol rahi hai 

Iss mousam main bheegtay rehna kitna acha lagta hai

Baarishon se tumhari yaadon ka


Baarishon se tumhari yaadon ka 

Koi rishta bhout purana hai

Samjh main zindagi aaye kahan se


Samjh main zindagi aaye kahan se 

Parhi hai yeh ibaarat darmiyaan se

Ba'aaz log rawiye bhi parh letay hain aur


Ba'aaz log rawiye bhi parh letay hain aur 

Ba'aaz log alfaaz bhi samjhnay se qasir hotay hain

Ab to is raah se woh shakhs guzarta bhi nahin


Ab to is raah se woh shakhs guzarta bhi nahin 
Ab kis umeed pe darwaze se jhaankay koi 

Koi aahat , koi awaaz, koi chaap nahin 
Dil ki galiyan bari sunsaan hain , aaye koi

Rooh main koi gham hai posheeda



Rooh main koi gham hai posheeda 

Zindagi be'wajah udaas nahin rehti

Dekh lay aa kay zara chain se sonay walay


Dekh lay aa kay zara chain se sonay walay 
Kaisay rotay hain teri yaad main ronay walay

Nahin aaya  meri miyyat pe koi bhi dost 
Meray qatil hain meri laash pe ronay walay 

Tujh ko aaye gi lahoo se bhi wafa ki khushboo 
Meray ashkon kay nishaan chehray se dhoondnay walay 

Aadmi laakh sambhal kar bhi chalay to 
Haadsay ho kay hi rehtay hain yeh honay walay

Mujh ko ghairon se nahin koi shikayat ab tak 
Meray apnay hain meri kashti ko dabonay walay


Aa to gaye ho zindagi main magar itna khayal rakhna


Aa to gaye ho zindagi main magar itna khayal rakhna 

Hum jaan to detay hain magar janay nahin detay

Kabhi paigham-e-ulfat , aur kabi tera khaffa hona


Kabhi paigham-e-ulfat , aur kabi tera khaffa hona 

Hai to sara'sar na'jaiz 

LAkin teri yeh bhi meharbani , teri woh bhi meharbani

Main khud zameen mera zarf Aasmaan ka hai


Main khud zameen mera zarf Aasmaan ka hai 
Keh toot kar bhi mera hosla chitaan ka hai 

Bura na maan meray harf-o-lafz zehar sahi 
Main kya karon keh yahi zaaiqa zubaan ka hai 

Meri sanjeedagi mashoor hai zamanay main 
Meri khamoshi bhi pehlu meray biyaan ka hai 

Her ik ghar pe musallat hai dil ki veerani
Tamaam shaher pe saya meray makaan ka hai 

Bichar kay uss se main bas is liye nahin bikhra , Mohsin 
Woh keh gaya tha yahi waqat teray imtehaan ka hai 

Mujhay na saans aati hai na mera dam nikalta hai


Mujhay na saans aati hai na mera dam nikalta hai 
Magar yeh beech ka aalam bhout takleef deta hai 

Samandar na nigalta hai na saahil par patakhta hai 
Magar yeh doobna ubharna bhout takleef deta hai 

Jo tum bolo sanwar jayein jo tum bolo bikhar jayein 
MAgar yeh tootna jurna bhout takleef deta hai 

Tum maano to batayein jo samjho to samjhayein
Tumharay bin adhoora pan bhout takleef deta hai

Bhout shouq hai na tujhay behas ka


Bhout shouq hai na tujhay behas ka 

Aa baith bataa ! wafa kya hai ?

Kiyon sharminda kartay ho , yeh rasmi baatein pooch kar


Kiyon sharminda kartay ho , yeh rasmi baatein pooch kar 

Haal mera wohi hai jo tum ne bana rakha hai

Aye pagal dil zid na kar dharak to sahi


Aye pagal dil zid na kar dharak to sahi

Zindagi apni jaga shart-e-mohabbat apni jaga

Phir dil ne kaha hy use mangu khuda se



Phir dil ne kaha hy use mangu khuda se
Phir aankhon ne uski deedar ki chahat ki hai

Phir aaj baras gai aankhen yaad men us ki
Phir neend ne aankhon se shikayat ki hai              

Phir lehje men dukh aa simta hai
Phir aansuon ne ankhon se baghawat ki hai

Phir wo uska sath yaad aa gaya
Phir dil ne mehsoos uski zaroorat ki hai

Uske dukh or uski yaad ko seene se laga kar
Boht toot kr mene us se mohabbat ki hai

Agar be-aaib chaho to farishton se nibah kar lo


Agar be-aaib chaho to
Farishton se nibah kar lo

Main aadam ki nishaani hoon
Mujhey insaan rehnay do

Kya sochty rehty ho sada raat gaye tak


Kya sochty rehty ho sada raat gaye tak
Kis qarz ko krty ho ada raat gaye tak

Thak haar k aa betha hai dehleez pe teri
Deedar ka raaz hai gda raat gaye tak

Ye kon hai,? Yousuf sa hasee'n dhondh raha hai
 Yaqoob koi mehv-e-nida raat gaye tak

Aa toor pe chalty hain abi raat hai baqi
Shayd hmen mil jaye khuda raat gaye tak

Shmma teri aamad ko jalai thi sr-e-sham
Hoty rahy prwany fida raat gaye tak

Kuch aalam-e-tanhai mein ashkon ne dia sath
Aankhen rahen sailaab zda raat gaye tak

Raaz ko shab-e-wasal mila jam ba-mushkil
Ho paye na phir dono juda raat gaye tak

Gham kay maaray jo sada detay hain,


Gham kay maaray jo sada detay hain,

Takht shaahon k hila detay hain,

Bheegay mousam mein sulagtay aansoo

Meri aankhon ko jala detay hain

Kitnay zalim hain hawa k jhonkay

Soye zakhmon ko jaga detay hain

Aisi bakhshi hai udaasi tu nay

Ab lateefay bhi rula detay hain

Teray honto'n se woh jharrtay mouti

Mujh ko neendo'n se jaga detay hain

Ab na "dost" ko sadayein daina

Hum na loutein gain, bta detay hain
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...