Nov 21, 2014

Yahi aarzoo rahi umar bhar keh mohabbatain meray saath hon


Yahi aarzoo rahi umar bhar keh mohabbatain meray saath hon 
Kabhi aisa ishq nahin kiya keh nadamatain meray saath hon 

Koi aisa harf nahin likha keh ho sharm saar qalam mera 
Koi aisa jurm nahin kiya keh wazahatain meray saath hon 

Faqat ik shakhs ki aarzoo main guzar rahi hai yeh zindagi 
Yeh talab nahin keh tamaam shaher ki chahtain meray saath hon 

Jo main jaagta hon to is liye keh kisi ko neend to aa sakay 
Meri subha us pe nisaar ho meri zulmatain meray saath hon 

Main kisi adalat-e-ishq main , Ae meray khuda rahoon sur'khuru
Kaf-e-dast pe mera dil arhay , meri tohmatain meray saath hon 

Yeh nahin keh raah main jo milay ussay hamsafar hi bana loon 
Jo tamaam umar nibha sakain woh rafaqatain meray saath hon 

Mujhay rasmi sa mail jol pasand hi nahin jan-e-man 
Main yeh chahta hoon keh jo tu milay meri wehshatain meray saath hon 

Dukh ki taskeen risaalay to nahin kar saktay


Dukh ki taskeen risaalay to nahin kar saktay 
Yeh fasaanay , yeh maqaalay to nahin kar saktay 

Roshni chahiye lakin isi ik shouq main hum 
Ghar kay sholon kay walay to nahin kar saktay 

Noor ki raah main dewaar uthaanay walay 
Qaid suraj kay ujaalay to nahin kar saktay 

Raig-e-sehra hi sunaey gi safar ki ru'daad
|Guftagoo paaon kay chaalay to nahin kar saktay 

Kaisay aashiq hain keh khush hain teri ruswai par 
Youn kabhi chahnay walay to nahin kar saktay 

Bad'gumaan hum se hain kuch log to majboor hain hum 
Saaf her zehan kay jaalay to nahin kar saktay 

Log kehtay hain chraghaan to chraghaan hi sahi


Aik aansoo meri palkon pe numa'iyaan hi sahi 
Log kehtay hain chraghaan to chraghaan hi sahi 

Hum ne her dour main raaton se baghawat ki thi 
Aaj pa'bandi-e-aaien shabistaan hi sahi 

Meri taqdeer main phoolon ka tasawur bhi mohaal 
Koi gulshan babakaf-o-khuld badamaan hi sahi 

Mujh pe jo beet gayi beet gayi beet gayi 
Meri hasrat teray chahray se numaiyaan hi sahi 

Mar'ghatton par nahin buniyaad-e-makan rakhain gay 
Kar-e-tehzeeb raqeeb-e-sar-o-aasmaan hi sahi 

Kitni aankhain huyein be'naar tujhay kiya maloom 
kar-e-nazarah teri bazam main asaan hi sahi 

JAbar keh zulam liye huye san'naatay main 
Koi shorish koi halchal koi toofaan hi sahi 

Yeh bhi kiya kam hai keh hum chonktay hain jaagtay hain 
Zindagi silsal-e-khwaab-e-parishaan hi sahi 

Zulm her rang main pehchaan liya jaye ga 
Tera daaman hi sahi mera giribaan hi sahi

Poocha keh rooh nikalti hai jisam se kis tarah ?


Poocha keh rooh nikalti hai 
Jisam se kis tarah ?
Haath us ne haathon se churra 
kar dikha diya

Poocha keh mehshar se pehlay 
qayamat hai kiya ?
Naqaab us ne rukh se utha 
kar dikha diya 

Pooch yeh her taraf khizaan 
si kiyon hai ?
Mehfil se khud ko utha 
kar dikha diya 

Poocha keh ik diya jo hawa se 
nahin bujh sakay 
Diya us ne wafa ka jala kar 
Dikha diya 

Poocha keh aakhir yeh hasad 
hai kiya cheez?
US ne kisi aur ko apna bana 
kar dikha diya

Ek roz tum ne thaama tha haath mera


Ek roz tum ne thaama tha haath mera 

Meray haath se tumharay haath ki khushboo nahin jaati 

Tum bhout pyaar se pukaartay thay naam mera 

Meray kaano se tumhari woh awaaz nahin jaati 

Main bulaata bhi nahin tha or tum aa jaatay thay 

Ab bulaanay par bhi meri awaaz tum tak nahin jaati 

Bas chukay ho tum meri nas nas main lahoo ki tarah 

Meri ulfat tumhari rooh main utar kiyon nahin jaati 

Main jaanta hoon yeh shaher yeh raastay tumharay nahin 

Phir bhi meri aankhon se intizaar ki aadat nahin jaati 


What happend to us i cannot comprehend


What happend to us i cannot comprehend

Morning at your loss we were stunned

Lovely smiling figure thought of u as piece of art 

How can you go away despite being active and smart

Today everyone mourns at your tragic departure 

This event shook us up in from big disaster 

I cannot buy the word that can explain you 

Word of this kind are too expensive when it comes to you 

Even this day your solitary figure flashes across my mind 

So charming u were , the very one of your own kind

Mists in my eyes blur every image of you 

U were indeed lovable May God Bless You

Nov 20, 2014

Kabhi un ka dar kabhi dar-ba-dar


Kabhi un ka dar kabhi dar-ba-dar

Kabhi arsh par kabhi farsh par 

Gham-e-ishq tera shukriya 

Main kahaan kahaan se guzar gaya

Ab gaye shab kay khwaab kiya likhon


Zindagi par kitaab kiya likhon 
Ab gaye shab kay khwaab kiya likhon 

Zindagi to guzar gayi meri 
Zindagi kay azaab kiya likhon 

Zakham seenay kay chup nahin paatay 
Un ka ehad-o-shabaab kiya likhon 

Woh meri khwaishon ka qaatil hai 
Us ko izzat-e-ma'aab kiya likhon 

Dasht main be'hisaab bikhray huye 
Pathron ko gulaab kiya likhon 

JAb meezaan aik qayam hai 
Phir gunnah sawaab kiya likhon 

Hai mukamal kitaab-e-dil meri 
Tu bata intisaab kiya likhon 

Mohabbat phir mohabbat hai kabhi dil se nahin jaati


Mohabbat phir mohabbat hai 
Kabhi dil se nahin jaati 

Laakon rang hain is kay 
Ajab hi dhang hain is kay 
Kabhi sehra 
Kabhi dariya 
Kabhi jugnoo
KAbhi aansoo
Hazaaron roop rakhti hai 
Badan jhulsa kay jo rakh day 
Kabhi woh dhoop rakhti hai 

Kabhi ban kar yeh aik jugnoo
Shab-e-gham kay andheron main 
Dilon ko aas deti hai 

Kabhi manzil kinaaray par 
Sadiyon kay musaafir ko 
Faqat ik pyaas deti hai 
Aziyat hi aziyat hai 

Mohabbat phir mohabbat hai 
Kabhi dil se nahib jaati

Main nahin maanta main nahin jaanta


Deep jis ka sirf mehalaat hi main jalay 
Chand logon ki khushiyon ko lay kar chalay 
Aisay dastoor ko 
Subha-e-be-noor ko 
Main nahin maanta 
Main nahin jaanta

Main be'kaif nahin takhta-e-daar se 
Main bhi mansoor hoon , keh do aghiyaar se 
Kiyon draatay ho zindaan ki deewaar se 
Zulm ki baat ko 
Jehel ki raat ko 
Main nahin maanta 
Main nahin jaanta 

Phool shaakhon pe khilnay lagay tum kaho, 
Jaam rindon ko milnay lagay tum kaho
Chaak seeno kay silnay lagay tum kaho 
Is khulay jhoot ko 
Zehan ki loot ko 
Main nahin maanta 
Main nahin jaanta 

Tum ne loota hai sadiyon hamara sakoon 
Ab na hum par chalay ga  tumhara fasoon 
Chara gar main tumhain kis tarah se kahoon ?
Tum nahin chara gar 
Koi maangay magar 
Main nahin maanta 
Main nahin jaanta


 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...