Aakhiri baar milo aisay keh jaltay huye dil 
raakh ho jayein koi aur taqaza na karain 
chaak wada na silay , zakham-e-tamana na khilay
saans hamwaar rahay shama ki lu tak na hily 
baatain itni keh lanhay inhain aa kar gin jayein 
aankh uthay koi umeed to , aankahin chhin jayen 
iss mulaqat ka is baar koi weham nahin 
jis se ik aur mulaqaat ki surat niklay 
ab na heejan-o-junoon  , na hikayat ka waqat
ab na tajdeed-e-wafa ka , na shikayat ka waqat 
lut gayi shaher-o-hawadis main mata-e-alfaaz 
ab jo kehna hai to kaisay koi noh kahay 
aaj tak tum se rag-e-jaan ky kai rishtay hain 
kal se jo hoga ussay kon sa rishta kahain 
phir na dekhain gy kabhi Aariz-o-ruksaar , milo
matami hain dam-e-rukhsat dar-o-dewaar milo
phir na hum hon gy , na iqrar , na inkaar , milo
 Aakhri baar milo............................!!!!!