Sham-e-gham jab bikhar gayi ho gi 
Janay kis kis kay ghar gayi ho gi 
Itni larzaan na thi chragh ki lo 
Apnay saaye se dar gayi ho gi 
Chandani ik shab ki mehmaan thi 
Subha hotay hi mar gayi ho gi 
Dair tak woh kahfa rahay mujh se 
Door tak yeh khabar gayi ho gi 
Ik dariya kay rukh badaltay hi 
Ik nadi phir utar gayi ho gi
Jis taraf woh safar pe nikla tha
Saari ronaq udhar gayi ho gi 
Raat suraj ko dhoondnay kay liye
Taaba had-e-sehar gayi ho gi 
Meri yadon ki dhoop chaaon main 
Us ki surat nikhar gayi ho gi 
Teri pal bhar ki dosti "Mohsin"
Us ko bad'naam kar gayi ho gi 
Poet :~ Mohsin naqvi