Showing posts with label Islamic Corner. Show all posts
Showing posts with label Islamic Corner. Show all posts

Sep 19, 2018

Jan 4, 2017

Husan-e-yousaf ko daikh kar wahan katti thi kai ungliyan


Husan-e-yousaf ko daikh kar wahan katti thi kai ungliyan 

Khud chand katt gaya yahan ungli (s.a.w) ko daikh kar 

Apr 2, 2015

Sab ko udaas kar kay ramzan jaa raha hai


Sab ko udaas kar kay ramzan jaa raha hai 

Sab pe luta kay apna faizaan jaa raha hai 

Aaya tha ghar hamaray qismat hamari ban kay 

Bhaija tha jo khuda ne woh mehmaan jaa raha hai 

Alwida alwida maah-e-ramzan alwida 

Jaa rahi hain woh roniqein


Jaa rahi hain woh roniqein 

Jaa rahi hain woh barkatein 

Jaa rahi hain woh khushiyan 

Aya tha ban kay mehmaan 

Alwida alwida maah-e-ramzan

Khalqat-e-khuda ab ronay ko hai


Khalqat-e-khuda ab ronay ko hai 

Maah-e-ramzaan bhi juda honay ko hai 

Socho zara kya paya hum ne 

Kya apnay rab ko manaya hum ne 

Kya janay ab naseeb main yeh maah ho na ho 

Us ki rehmat ka kya haq paya hum ne ?

Ab bhi waqat hai mana lo apnay rab ko 

Keh baab-e-maghfirat band honay ko hai

Alwida noor-e-khuda , Ae maah-e-ramzan Alwidaa


Alwida noor-e-khuda , Ae maah-e-ramzan Alwidaa

Tu ho raha hai hum se juda , Ae maah-e-ramzan Alwidaa

Sach to yeh hai haq tera hum to ada na kar sakay 

Paish hai jo ho saka , Ae maah-e-ramzan Alwidaa

Teri mehmaani main agar hum se hoi koh'taaiyaan 

Maaf kar dena khatta , Ae maah-e-ramzan Alwidaa

Zindagi rahi to aglay saal dekhein gay tujhay 

Na rahay tu alwida , Ae maah-e-ramzan Alwidaa
 

Feb 26, 2015

Kabhi tu mujh ko bhi lay chal saba madeenay main


Kabhi tu mujh ko bhi lay chal saba madeenay main 

KEh dekhon jalwa-e-khair-ul-wara (s.a.w) madinay main 

Jee chahta hai tohfay main bhaijon unhain aankhein


Jee chahta hai tohfay main bhaijon unhain aankhein 

Darshan ka to darshan ho nazranay ka nazrana

Jeenay ki taraf dekh na marnay ki taraf dekh


Jeenay ki taraf dekh na marnay ki taraf dekh 

Jab chot lagay dil ko madeenay ki taraf dekh 

Ya'Mustafa (s.a.w) Ataa ho ab izn hazari ka


Ya'Mustafa (s.a.w) Ataa ho ab izn hazari ka 

Kar loon nizara aa kar main Aap (s.a.w) ki gali ka

Tareekh agar dhoonday gi kahin saani-e-Mohammad (s.a.w)


Tareekh agar dhoonday gi kahin saani-e-Mohammad (s.a.w)

Sani to bari cheez hai , Saaya bhi na milay ga

Parhnay laga darood main , jab se hazoor par



Parhnay laga darood main , jab se hazoor par 

Her kaam meray wastay , Asaan ho gaya

Dooba raha gunaahon main poora guzista saal


Dooba raha gunaahon main poora guzista saal 

Aglay bars gunahon se mola (Az-o-Jal ) mujhay bacha

Rukh-e-Mustafa (s.a.w) hai woh aaina , keh jis sa doosra aaina


Rukh-e-Mustafa (s.a.w) hai woh aaina , keh jis sa doosra aaina 

Na kisi kay bazm-e-khayal main , na dukaan-e-Aaina saaz main

Na marnay ki koi hasrat na jeenay ki zaroorat hai


Na marnay ki koi hasrat na jeenay ki zaroorat hai 

Do Aalam main mujhay sirf ik madeenay ki zaroorat hai

Is se inkaar nahin sakhat gunah'gaar hoon main


Is se inkaar nahin sakhat gunah'gaar hoon main 

Shafa-e-hashar magar tera talab'gaar hoon main

Jahan roza-e-paak Khair-ul-wara hai


Jahan roza-e-paak Khair-ul-wara hai 

Woh jannat nahin hai to phir aur kya hai 

Meri janib jab uthaye gi meray Aaqa (s.a.w) ki nazar


Meri janib jab uthaye gi meray Aaqa (s.a.w) ki nazar 

Khud badal jaye ga andaz-e-muqaddar dekhna

Main hoon darwaish mera ishq bhi Aalam se juda


Main hoon darwaish mera ishq bhi Aalam se juda 

Mera mehboob bhi mehboob-e-Elahi hai miyaan 

Apni rehmat kay samandar main utar janay dy


Apni rehmat kay samandar main utar janay dy 

Be'thikana hoon Azal se mujhay ghar janay dy
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...