Showing posts with label Ahmad Raza Raja Poetry. Show all posts
Showing posts with label Ahmad Raza Raja Poetry. Show all posts

Apr 20, 2016

Jaanan achay lagtay ho


Jaanan achay lagtay ho 

Chaltay chaltay ruktay ho 
Ruktay ruktay hanstay ho 
Hanstay hanstay rotay ho 
Kin sochon main hotay ho ?
Jab saye se dartay ho !
Shamma ban kar jaltay ho 
Phone jab tum lartay ho 
Jab razi ho jatay ho 
Chain se jab so jatay ho 
Phir jab sapnay buntay ho 
Aur jab kaliyan chuntay ho 
Kaghaz par jab likhtay ho 
Jab tum shair dikhtay ho 
Chotay bachay lagtay ho 
Jaanan achay lagtay ho 
 


Dil wahan us ka lag gaya ho ga


Dil wahan us ka lag gaya ho ga 
Us ne mujh ko bhula diya ho ga 

Jab meray shaher se chala ho ga 
Jeetay jee woh to mar gaya ho ga 

Kon us ko samait'ta ho ga ?
Woh to ' be'tarah toot'ta ho ga 

Waqat rukhsat hamaray naam us se 
Koi paigham to diya ho ga 

Us ki aankhein chalak pari hon gi 
Us kay dil se dhuwan utha ho ga 

Kon baitha hai germany , us ka 
Kon us ko sambhalta ho ga 

Main jahan bhi rahon , usi ka hoon 
Woh jahan bhi rahay mera ho ga 

Chahnay walay laakh hain phir bhi 
Mujh ko "Raja" woh dhoondta ho ga 

Poet : Ahmad Raza Raja

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...