Teray galay main jo banhoon ko daal rakhti hai 
Tujhay mananay ka kaisa kamaal rakhti hai
Tujhay khabar hai tujhay sochnay ki khatar hum 
Bhout se kaam muqadar pe taal rakhti hai 
Koi bhi faisala hum soch kar nahin kartay 
Tumharay naam ka sika uchaal rakhti hai
Tumharay baad yeh aadat si ho gayi apni 
Bikhartay sookhtay paate sambhaal rakhti hai
Kushi se milti hai khud ko aziyaat de kar 
So jaan boojh ky dil ko nidhaal rakhti hai
Kabhi kabhi woh mujhay hans ky dekh lati hai 
Kabhi kabhi mera be'had khayal rakhti hai 
Tumharay hijar main yeh haal ho gaya apna 
Kisi ka khat ho ussay bhi sambhaal rakhti hai 
Kushi mile to teray baad kushi nahin hoti
Hum apni aankh main her dal nalaal rakhti hai 
Zamanay bhar se bichar ky woh apni pannah main 
Meray wajood ky tukray sambhaal rakhti hai 
Kuch is liye bhi to be'haal ho gaye hum log 
Tumhari yaad ka be'had khyaal rakhti hai