Insaan ka her ayeb chupa deti hai kursi 
Budhon ko bhi zee'shan bana deti hai kursi 
Shab bhar main yeh muflis ko bana deti hai zar'daar 
Soi hui kismat ko jaga deti hai kursi 
Gaoun main jo mashoor hai "gulu" kay laqb say 
Uss shaks ko gulsher bana deti hai kursi 
Woh log jo mariyaal say nazar atay hain pehlay 
Un logoun ki tawanai ko barha deti hai kursi 
Ta umer woh phir uss kay liye bharta hai aahain 
Ik baar jisay jalwa dikha deti hai kursi 
Woh log jo rehtay hain karaye kay makan main 
Bangloun main unhain la kay bitha deti hai kursi 
Gar sahib-e-kursi hai faqat  3 hi foot ka 
Uss bonay ko  6 foot ka bana deti hai kursi 
Woh log jo ek lafz ada kar nahi saktay 
Taqreer ka fun unn ko sikha deti hai kursi 
Nazdeeq nahi aata niyaz! Iss kay koi bhi 
Jiss shakhs ko ek baar gira deti hai kursi



































