Urdu and English Poetry of famous authors, short poetry, two liners and complete Ghazals and Nzams & Many More ...
Showing posts with label Wasi Shah Poetry. Show all posts
Showing posts with label Wasi Shah Poetry. Show all posts
Jun 4, 2018
Apr 30, 2017
Kisi ki aankh kay aansu mujhay ronay nahin detay
Kisi ki aankh kay aansu
mujhay ronay nahin detay
Kisi kay bheegtay lehjay
Mujhay khonay nahin detay
Kisi kay reshmi gaysu
Mujhay sonay nahin detay
Mujhay her pal sata'tay hain
Mujhay her dam jagaatay hain
Kabhi jo oongh jaaon to
Kisi dam bhool jaon to
Kisi ki narm si aahat
Kabhi anjaan lagti hai
Kabhi paighaam lagti hai
Bhala sa naam lagti hai
Kabhi ronay nahin deti
Kabhi sonay nahin deti
Magar yeh sach meri jaana !
Tujhay main ne nahin jaana
Magar aansu jo behtay hain
Jinhein hum aam sehtay hain
Bhout takleef detay hain
Kabhi tootein jo nazron se
Kabhi chootein jo palkon se
Bhout hasaas lagtay hain
Kisi ki aas lagtay hain
Magar jab gir hi jayein to
Zameen main mitt hi ho jayein to
Kisi ko kuch nahin hota
Magar phir kuch nahin rehta
Magar jab ho kabhi aisa
Kisi ki aankh kay aansu
Meri jab aankh main aayein
To phir main
Main nahin rehta
Mera phir dil yeh kehta hai
Kisi seepi main band ho kar
Banu moti ki surat main
Dhalon matti ki surat main
Kisi ki aankh ka aansu
Bahay jab aankh se meri
Laga de aag hasti main
Rahoon phir kiyon uss basti main
Jissay sab log kehtay hain
"Mohabbat Lok: kehtay hain
Koi jo aankh pur'nam hai
Koi jo zulf barham hai
Yeh sab meri wajah se hai
Yeh jo aansu chalaktay hain
Meray dil main dehaktay hain
Ussi dam hum behaktay hain
Magar yeh sarhadein jaana
Hamaray beech main hayel
Karein kaisay unhein qayel
Jo hum ko rog detay hain
Milan ko jog detay hain
Yeh aansu kab hamaray hain
Yeh aansu log detay hain
Yeh aansu log detay hain .....!!
Mar 25, 2017
Chandni raat kay haathon pe sawar utri hai
Chandni raat kay haathon pe sawar utri hai
Koi khushbu meri dehleez kay paar utri hai
Is main kuch rang bhi hain , khawab bhi , meh'kaar bhi hai
Jhil'milaati hui khawaish bhi hai , inkaar bhi hai
Issi khushbu main kai dard bhi , afsanay bhi
Issi khushbu ne banaye kai dewane bhi
Meray aanchal pe umeedon ki qataar utri hai
Koi khushbu , meri dehleez kay paar utri hai
Issi khushbu se kisi yaad kay dar khultay hain
Meray pairon se jo liptay to safar khultay hain
Yeh hi khushbu jo mujhay ghar se utha laayi thi
Ab kisi tor palat kar nahin janay deti
Meri dehleez bulaati hai mujhay , loat aayo !!
Yeh hi khushbu mujhay wapis nahin janay deti
Ranj aur dard main doobi yeh bahar utri hai
Feb 2, 2017
Khamoshi raat ki daikhta hoon aur tujhay sochta hoon
Khamoshi raat ki daikhta hoon aur tujhay sochta hoon
Mad'hosh aksar ho jata hoon aur tujhay sochta hoon
Hosh walon main jata hoon to ulajhti hai tabiyat
So be'hosh para rehta hoon aur tujhay sochta hoon
Tu mann main meray aa jaa main tujh main samaa jaon
Adhooray khawab sajota hoon aur tujhay sochta hoon
Jama'nay lagti hai jab lahu mera furqat ki hawaein
To shaal qurbat ki oorhta hoon aur tujhay sochta hoon
May 21, 2016
Mujh se woh aksar kehti thi
Kasak
Mujh se woh aksar kehti thi
Meri bas itni khawaish hai
Kuch aisi pehchani jaon
Aap kay naam se jani jaon
Dewar pe larza hai to dar kaamp raha hai
Dewar pe larza hai to dar kaamp raha hai
Bichray ho to ujra hua ghar kaamp raha hai
Tum aankh ki putli main chuppay sach ko bhi dekho
Mujrim to nahin hai woh agar kaamp raha hai
Veeran hai is darja teray baad mera dil
Is shaher main aatay huye darr kaamp raha hai
Ik main keh judai ne mujhya kar diya saakat
Ik tu hai keh sadmay se udher kaamp raha hai
Aangan ko palat jaon na main chor kay us ko
Sehra main mera khawab-e-safar kaamp raha hai
Ya to meri beenai pe hai khouf musalat
Ya nehar kay paani main shajar kaamp raha hai
Bujhnay nahin doon ga main kabhi hijar kay sadmay
Dil main teri yaadon ka sharar kaamp raha hai
Pa'barhana aur meray charon taraf tanhaiyan
Pa'barhana aur meray charon taraf tanhaiyan
Chun raha hoon teri yadon ki sulagti kirchiyan
Kya kahein tark-e-taluq ka irada to nahin
Yaad jo karnay lagay ho tum purani talkhiyan
Aah ! woh mousam woh heelay aur kinara nehar ka
Yaad aati hain mujhay campus ki sari khushiyan
Kya kisi wehshat zada mousam ka tum ko khouf hai
Kis liye khamosh ho kholo na dil ki khirkiyan
Main ussay shohrat kay baam-o-dar pe ponchanay kay baad
Apnay daman main chupa lay jaon ga ruswaiyan
Apni barbadi ka main jaa kar kissay ilzaam doon
Apnay hathon se daboein main ne apni kashtiyan
Jeet to jata hoon phir bhi dukh sa rehta hai mujhay
Kab talak us se main khelon ga shakista baziyan
Boliyan lagti hain ab bhi khushbu'on ki shaher main
Aaj bhi bazar main bikti hain nazuk titliyan
Leejiye is dil ka phir mah-e-moharram aa gaya
Matamon ka shor hai aur chal rahi hain barchiyan
Yaad hai mujh ko december main judai ki woh raat
Chand ki kirnein lahu main ban gayein chingariyan
Hijar kay saahil pe kis kay muntazir baithay ho tum
Is samandar se bhala kab lot'ti hain kashtiyan
Phir kaseela zaiqa mousam ka is dil ko laga
Phir se aankhon main utar ayein purani talkhiyan
Kon janay kis se badla lay raha hoon main Wasi
Aik muddat se ragon main paal kar veeraniyan
Kaisa maftooh sa manzar hai kai sadiyon se
Kaisa maftooh sa manzar hai kai sadiyon se
Meray qadmon pe mera sar hai kai sadiyon se
Khouf rehta hai na sailaab kahin lay jaye
Meri palkon pe tera ghar hai kai sadiyon se
Us kay pani main bhi pehlay sa woh thehrao nahin
Tu bhi be'chain samandar hai kai sadiyon se
Ashk aankhon main sulagtay huye so jatay hain
Yeh meri aankh jo banjar hai kai sadiyon se
Kon kehta hai mulaqat meri aaj ki hai
Tu meri rooh kay andar hai kai sadiyon se
Yeh mujhay saans bhi khul kar nahin lenay deta
Meri sheh'rag pe jo khanjar hai kai sadiyon se
Ae meri maan main her aik dhoop se larr sakta hoon
Meray sar pe teri chadar hai kai sadiyon se
Main ne jis kay liye her shakhs ko naraz kiya
Rooth jaye na yeh hi dar hai kai sadiyon se
Us ki aadat hai jarrein kaat'tay rehnay ki Wasi
Jo meri zaat ka mehwar hai kai sadiyon se
Main us kay hisar se niklon to aur kuch sochon
Main us kay hisar se niklon to aur kuch sochon
Tumharay pyar se niklon to aur kuch sochon
Teri gali kay ilawa bhi aur qariyeh hain
Jo is diyaar se niklon to aur kuch sochon
Tumharay hijar ki sadiyan tumharay wasal kay din
Main is shumar se niklon to aur kuch sochon
Racha hua hai tera ishq meri poron main
Main is khumar se niklon to aur kuch sochon
Yeh mera jism keh maatam sara-e-hasrat hai
Main is mizar se niklon to aur kuch sochon
Yeh mujh main kon meray raat din sambhalta hai
Is ikhtiyar se niklon to aur kuch sochon
Tumharay jism ki khushbu ne kar diya mashoor
Is aabshaar se niklon to aur kuch sochon
Yeh be'qarari meri rooh ka ujaala hai
Main is qaraar se niklon to aur kuch sochon
Janay kiyon 15 ka tanha aur udasi pehnay chand
Zid
Janay kiyon 15 ka tanha
Aur udasi pehnay chand
Mujh ko acha lagta hai
Shayed youn 14 to ab meri zid hai
Kiyon keh 14 ka khush chand
Us ko acha lagta tha
Tum se meri baat hui thi
Wapsi ka noha
Tum se meri baat hui thi
Tum ne mujh ko samjhaya tha
Apni zaat se baahir niklo
Ghar ko loto
Ghar ko dekho
Aur bhi log tumharay dam se zinda hain
Tum main apni sari khushiyan
Dekh rahay hain
Soch liya hai
Dekh liya hai
Loat aaya hoon
Lakin meray andar koi toot gaya hai
Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hai
Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hai
Keh ashk rokna tum se mohaal hona hai
Her aik lab pe hain meri wafa kay afsanay
Teray sitam ko abhi la'zawal hona hai
Baja kay khaar hain lakin bahar ki rut main
Yeh teh hai ab kay hamein bhi nihaal hona hai
Tumhein khabar hi nahin tum to loat jao gay
Tumharay hijar main lamha bhi saal hona hai
Hamari rooh pe jab bhi azaab utrein gay
Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hai
Kabhi tu roye ga woh bhi kisi ki baanhon main
Kabhi to us ki hansi ko zawal hona hai
Milein gi hum ko bhi apnay naseeb ki khushiyan
Bas intizaar hai kab yeh kamaal hona hai
Her ik shakhs chalay ga hamari raahon par
Mohabbaton main hamein woh misal hona hai
Zamana jis kay kham-o-page main ulajh jaye
Hamari zaat ko aisa sawal hona hai
Wasi yaqeen hai mujh ko woh loat aaye ga
Ussay bhi apnay kiye ka malaal hona hai
Ae dil'kash larkiyo tum kabhi kisi se
Ae dil'kash larkiyo . . . .! Tum
Kabhi kisi se bhi dukh na kehna
In aanchlon se
Khanakti rangeen churiyon se
Badan ki apni hi khushbu'on se
Palak kay uthnay , palak jhapaknay
Ki sa'aton se
Chatton kay kono main chup kay baithi
Woh shokh-o-shang aur naaz parwar si chandni se
Diyon ki lu se
Ya un kutab se keh jin main phoolon kay titliyon kay haseen dukh hon
Palang pe salwaton bharri saaf chadron se
Gudaaz takiyon se jin main zulfon ki khushbu'ein raqs kar rahi hon
Tum aaino aur jugnu'on se
Saheliyon aur doston se
Kabhi bhi masoom larkiyo . . . tum ...!
Woh dukh na kehna
Siyah raaton main jis ko apni
Udaas aankhon se
Apnay hi dil ki dharkano se
Chupa chupa kar bikhar rahi thein
Kabhi bhi dekho woh dukh na kehna
Kabhi bhi ae larkiyo . . . . !
Wa'garna .........
Aadha chand aur poora dukh
Aadha chand aur poora dukh
Jab se tum bichray ho tab se
Aadha chand agar dekhon to
Meri aankhein bhar aati hain
Falak pe chand kay haalay bhi sog kartay hain
Falak pe chand kay haalay bhi sog kartay hain
Jo tu nahin to ujaalay bhi sog kartay hain
Tumharay haath ki churi bhi bain karti hai
Hamaray hont kay talay bhi sog kartay hain
Nagar nagar main woh bikhray hain zulam kay manzar
Hamari rooh kay chaalay bhi sog kartay hain
Ussay kaho keh sitam main woh kuch kami kar de
Keh zulam tornay walay bhi sog kartay hain
Tum apnay dukh pe akelay nahin ho afsurda
Tumharay chahnay walay bhi sog kartay hain
Yeh kab kaha tha nizaron se khouf aata hai
Yeh kab kaha tha nizaron se khouf aata hai
Mujhay to chand sitaron se khouf aata hai
Main dushmano kay kisi waar se nahin darta
Mujhay tp apnay hi yaaron se khouf aata hai
Khizan ka jabar to seenay pe rok letay hain
Hamein udas baharon se khouf aata hai
Milay hain dosto be'sakhiyon se gham itnay
Meray badan ko saharon se khouf aata hai
Main iltafaat ki khandaq se door rehta hoon
Taluqaat ki gharon se khouf aata hai
May 20, 2016
Mujhay her kaam se pehlay
Mujhay her kaam se pehlay
Mujhay her kaam se pehlay
Sehar se shaam se pehlay
yehi ik kaam karna hai
Tumhara naam lena hai
Tum hi ko yaad karna hai
Keh jab bhi dard peena hai
Keh jab bhi zakham seena hai
Gham-e-duniya se ghabra kar
Mujhay jab jaam lena hai
Tumhara naam lena hai
Tum hi ko yaad karna hai
Tumhari yaad hai dil main
Keh ik siyaad hai dil main
Koi bar'baad hai dil main
Ussay abaad karna hai
Tumhara naam lena hai
Tum hi ko yaad karna hai
Main janta hoon keh ab chatton par
Diya jalana
Main janta hoon keh ab chatton par
Diye jalanay ki rasam baqi nahin rahi hai
Magar tumhein meri yaad aaye
To yaad rakho ......!
Tum apni aankhon se
Aansu'on kay chamaktay moti na girnay dena
Bas itna karna
Keh apni chatt par
Meri mohabbat ki nazam gaa kar
Meri rafaqat ko yaad kar kay
Diya jalana
Tum apni chatt par kisi bhi konay main baith kar
Ik diya jalana . . . . !
Subscribe to:
Comments (Atom)
















