Ajeeb log hain kiya khoob munsafi ki hai 
Hamaray qatal ko kehtay hain khud kushi ki hai 
Yeh baankpan tha hamara  keh zulam par hum ne 
Bajaye naala-o-fariyaad shairy ki hai 
Zara se paaon bhigoye thay ja kay dariya main 
Ghuroor yeh hai keh hum ne shanaawari ki hai 
Isi lahoo main tumhara safeena doobay ga 
Yeh qatal-e-aam nahin , tum ne khud kushi ki hai 
Hamari qadar karo chodween kay chaand hain hum 
Khud apnay daagh dikhaanay ko roshni ki hai 
Udaasiyon ko hafeez aap apnay ghar rakhain 
Keh anjuman ko zaroorat shaguftagi ki hai