Wohi rat'jagay puraanay , wohi dukh bhari kahani 
Meray aanso'on main shamil , meri dastaan puraani 
Meri inkisaariyon par, Tera tund-o-tez lehja 
Wohi meri jee hazoori , wohi teri hukam'raani 
Teri be'niaziyaan hain , meri zindagi ka haasil 
Meri shairy main shamil , meray zabat ki kahani 
Wohi hijar ka samandar , wohi aankh main udaasi 
Wohi sardiyon ki shaamein, wohi dard ki nishaani 
Teray husan ki nazar se , ab main utar gaya hoon 
Mujhay khud bhi chubh raha hai, meray aanso'on ka paani