Zakham muskuratay hain ab bhi teri aahat par 
Dard bhool jatay hain ab bhi teri aahat par 
Shabnami sitaron main phool khilne lagta hai 
Chaand muskurata hai ab bhi teri aahat par 
Umar kaat di lakin bachpan nahin jata 
Hum dia jalatay hain ab bhi teri aahat par  
Teri yaad ayi to neend jati rahi hai 
Khwaab toot jatay hain ab bhi teri aahat par 
Jo sitam kare aa kar sab qabool hai dil ko 
Hum khushi manatay hain ab bhi teri aahat par 
Teray hijjar main hum pe ek azaab taari hai 
Chonk chonk jatay hain ab bhi teri aahat par 
.jpg)