Jis subha ki awaaz main baarish ki khanak ho 
Us din ka badan dekhiye , sur kaisay hua ho 
Jis shaam kay maathay pe khilay wasal ka tara 
Us raat kay iqraar ki kiya suratein hon gi 
Ae bhaid bharay din meray 
Ae ramz bhari raat 
YEh maah zada , mehar gazeeda dil wehshi 
Phir kon se jadoo kay asar main hai giraftaar 
Barsaat main jaltay huye jungle kay kinaray 
Kis qaaf kay bashinday se tehri hai mulaqat 
Parveen Shakir