Showing posts with label Saleem Kausar Poetry. Show all posts
Showing posts with label Saleem Kausar Poetry. Show all posts

Apr 23, 2016

Woh to yeh kehiye gharri tujh se juda honay ki thi


Woh to yeh kehiye gharri tujh se juda honay ki thi 
Warna yeh saa'at jo thi meray Khuda honay ki thi 

Tujh ko yeh zid keh main teri aankhon se dekhta 
Aur mujhay khawaish teray lab se ada honay ki thi 

Meri beenai khas-o-khashaak mousam lay urray 
Jisam-o-jaan main to sakat , tujh se riha honay ki thi 

Aik chup rehnay kay sab ilzaam mujh par hi na thay 
Khamoshi par bhi to tohmat lab-e-kusha honay ki thi 

Khilwat-e-jaan main agar aana hai to dastak na day 
Mujh se woh bhi kab hui hai jo khata honay ki thi 

Main khud apni aag hi main jal bujha to yeh khula 
Shart jalnay ki nahin thi keemiya honay ki thi 

Roothnay walay ko aakhir kon samjhata Saleem 
Yeh bhi koi umar ab is kay khafa honay ki thi

Ussay kehna kabhi milnay chala aaye




Ussay kehna 
Kabhi milnay chala aaye 
Hamaray paon main jo raasta tha 
Raastay main pairr thay 
Pairon par jitni tahiron ki toliyan 
Hum se mila karti thein 
Ab woh urtay urtay thak gayi hain 
Woh ghanni shakhein jo hum pe saya karti thein 
Woh sab murjha gayi hain 
Tum ussay kehan 
Kabhi milnay chala aaye 
Labon pe lafz hain 
Lafzon main koi daastan , aissa, kahani 
Jo ussay aksar sunatay thay 
Kissay ja kar sunaein gay 
Bataein agy 
Keh hum mehraab-e-aabru main sitaray taanknay walay 
Dar-e-lab , bosa-e-izhaar ki dastak se aksar kholnay walay 
Kabhi bikhri hui zulfon main hum 
Mehraat kay gajray bana kar bandhnay walay 
Chragh aur aainay kay darmiyan 
Kab se sar-e-saahil kharray mojon ko taktay hain 
Ussay kehna 
Ussay hum yaad kartay hain 
Ussay kehna 
Hum aa kar khud ussay miltay 
Magar maqtal badaltay mousamon kay khoon main rangeen hain 
Aur hum 
Qataar andar qataar aisay bhout se mousamon kay darmiyan 
Tanha kharray hain 
Janay kab apna bulawa ho 
Keh hum main aaj bhi 
Ik umar ki wa'raftagi aur wehshaton ka raqs jari hai 
Woh baazi jo bisat-e-jaan pe kheli thi 
Abhi hum ne jeeti hai na haari hai 
Ussay kehna kabhi milnay chala aaye 
Keh ab ki baar shayed 
Apni baari hai
 

Aug 17, 2014

Mujhay khaber thi mere baad woh bikhar jaata


Mujhay khaber thi mere baad woh bikhar jaata
So us ko kis kay bharosay pe chor kar jaata 

Woh koi nasha nahin tha keh toot'ta mujh ko 
Woh saniha bhi nahin tha keh jo guzar jaata 

Ruka hua tha mera saans mere seenay main 
Ussay galay na lagata to ghut kay mar jaata

Shakista ho gaya pindaar-e-aaina . warna 
Yaqeen kar main tere ishq se mukar jaata 

Na janay kitnay mohazon pe jung thi meri 
Bas aik wada nibhanay main apnay ghar jaata 


Aug 13, 2014

Phir jee uthay hain jis se woh imkaan tum nahin


Phir jee uthay hain jis se woh imkaan tum nahin 
Ab jo bhi kar raha hai yeh ehsaan , tum nahin 

Mujh main badal raha hai jo ik aalam-e-khyal 
Us lamha-e-junoon kay nighibaan tum nahin 

Bujhtay huye chragh ki lo jis ne tez ki 
Woh aur hi hawa hai meri jaan , tum nahin 

Phir youn hua keh jaisay girah khul gayi koi 
Mushkil to bas yahi thi keh asaan tum nahin 

Tum ne sunni nahin hai sada-e-shakist-e-dil 
Hum jhailtay rahay hain yeh nuksaan , tum nahin 

Yeh aalam-e-zahoor hai hijrat zada "Saleem"
Hum bhi dukhi hain sirf parishaan tum nahin 


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...