Khwaab jhootay kisi ko dikhaya nahin kartay 
Meri jaan youn kisi ko staya nahin kartay 
Aik baar youn kisi ko keh kar apna 
Daaman phir us se vhuraya nahin kartay 
Us kay intizaar se bhala kiya ho ga hasil 
Aanay ka keh kar bhi jo aya nahin kartay 
Rakhtay hon jo dard bhara dil apnay seenay main 
Doosron ka dil phir woh dukhaya nahin kartay 
Do qadam saath chal kar jo juda ho jayein 
Aisay logon ko to hamsafar banaya nahin kartay 
Kis tarah guzarti ho gi zindagi un ki 
Pehli mohabbat ko jo dil se bhulaya nahin kartay