Showing posts with label Sobia Ghazal Poetry. Show all posts
Showing posts with label Sobia Ghazal Poetry. Show all posts

Apr 21, 2016

Ab kay azab dohra uthana para mujhay


Ab kay azab dohra uthana para mujhay 
Tujh se milay baghair hi jana para mujhay 

Phir apni das'taras se bhi main door ho gayi 
Apnay liye hi jaal bichana para mujhay 

Thein tehra bakhtiyan hi muqadar main is qadar !
Yaadon ka shama'daan bhi bujhana para mujhay 

Woh kya juda hua keh main khud se bichar gayi !
Awaz de kay khud ko bulana para mujhay 

Jis main kahin tumhara bhi kuch zikar aa gaya 
Woh shair, baar baar suna'na para mujhay 

Need to urr hi jati hai


" Need to urr hi jati hai "

Khawabon main ' tujh se milnay ka !
Paigham , saba jab laati hai 
Tab dastak bin !
In palkon ki dehleezon se 
Sab neend meri ' urr jati hai 
Aur tujh se milnay ki ik khawaish !
Sari raat jagati hai 
Ab tu hi bata
Phir itni khushi main !
Neend bhala kab aati hai 
Keh neend to urr hi jati hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...