Ussay jab yaad aaye ga keh sawan loat aaya hai 
Bula le ga woh mujh ko ya khud hi loat aaye ga 
Ussay jab yaad aaye ga main kaisay muskurata tha 
Ya aankhein muskuraein gi  ya daman bheeg jaye ga 
Ussay jab yaad aaye ga main kaisa naam leta tha
Tu mera naam likhye ga ya apna bhi mitaye ga 
Ussay jab yaad aaye ga mera khamosh rehna sa rehna 
To sab ko bol de ga woh ya khud se chupaye ga 
Ussay jab yaad aaye ga mera nangay sar phirna 
To bijli ban kar kartay ga ya badal ban kay chaye ga 
Ussay jab yaad aaye ga mera chalna mera phirna 
To raah main khaar boye ga ya palkein bichha'ey ga