Dil kitna aabaad hua jab deed kay ghar bar'baad huye 
Woh bichra aur dhiyaan main us kay so mousam ijaad huye 
Na'moori ki baat digar hai warna yaaro socho to 
Gagoon ab tak kitnay taishay be'khoon-e-farhaad huye 
Layein kahan se bol raseelay honton ki na'daari main 
Samjho aik zamana guzra boson ki imdaad huye 
Tum meri ik khud masti ho main hoon tumhari khud beeni 
Rishtay main is ishq kay hum tum dono be'buniyaad huye 
Mera kya ik moj-e-hawa hoon par youn hai ae ghuncha-e-dehan 
Tu ne dil ka baagh jo choora ghunchay be'ustaad huye 
Ishq mohalay main ab yaaro kya koi mashooq nahin 
Kitnay qaatil mousam guzray shor huye fariyaad huye 
Barq kya hai aks-e-badan ne teray hamein ae tang qaba 
Teray badan pe jitnay til hain teray hum ko yaad huye 
Tu ne kabhi socha ho ga , socha bhi ae mast adaa 
Teray adaa ki abaadi par kitnay ghar bar'baad huye 
Jo kabhi bhi rudaad-e-sukhan thi honton ki doori se thi 
Jab honton se hont milay to yak dam be'rudaad huye 
Khaak nasheeno se koochay kay kya kya nakhoot kartay hain 
Jaan-e-jaana ! teray darbaan to firon-o-shadaad huye 
Shaheron main hi khaak uraa lo shor macha lo be'halo 
Jin rishton ki soch rahay ho kab kay bar'baad huye 
Simton main bikhri woh khilwat , woh dil ki rang abaadi 
Yehni woh jo baam-o-dar thay yak'sar gard'baad huye 
Tu ne rindon ka haq maara meh'khanay main raat gaye 
Shaikh kharray sayed hain hum to , hum ne suna na'shaad huye