Showing posts with label Qateel Shifai Poetry. Show all posts
Showing posts with label Qateel Shifai Poetry. Show all posts

Apr 16, 2020

Khula hai Jhoot ka bazar, Aao such bolein


Khula hai Jhoot ka bazar, Aao such bolein
Na ho bala say Kharidar, Aao such bolein

Sukoot chahya hai insaniyat ki Qadron par
Yehi hai moqa-e-izhaar, Aao such bolein

Humein gawah banaiya hai waqat nay apna
Be-naam-e-azmat-e-kirdar, Aao such bolein

Suna hai waqat ka Haakim bara hi Musanif hai
Pukar kar sar-e-darbar, Aao such bolein

Tamam shehar mein aik bhi nahi “Mansoor”
Kahein gay kea rasan o daar, Aao such bolein

Jo “wasaf” hum mein nahi kyon krein kisi mein talaash
Agar Zameer hai bay-daar, Aao such bolein

Chupaaye say kaheen chuptay hain Daag chehray kay
Nazar hai Aaina bardaar, Aao such bolein

Qateel jin pe sada Pathron ko Peyar aya
Kidhar gaye woh Gunah-gaar, Aao such bolein

Apr 25, 2016

Us kay chehray se kabhi zulf hata kar dekho


Us kay chehray se kabhi zulf hata kar dekho 
Shaam kay waqat nayi subha ka manzar dekho 

Dil mera kuch bhi ho , sonay se bhi mehanga hai woh shakhs 
Tum meray dil ko na dekho , mera dal'bar dekho 

Us ki aankhon ne mujhay hukam diya tha  keh na pee
Woh para hai mera toota hua saghar dekho 

Dekhnay main to woh shabnam ki tarah hai lakin 
Haath jal jaye ga tum mat ussay chu kar dekho 

Mil kay jab aaya main us se to yeh logon ne kaha 
Jaa raha hai woh muqaddar ka sikandar dekho 

Raastay dil kay bhout door talak jatay hain 
Apnay andar ka bhi ik roz safar kar dekho 

Naam paida youn hi hota nahin duniya main Qateel 
Zinda rehna hai to us shokh pe mar kar dekho

Sawan kay suhanay mousam main ik naar mili badal jaisi


Sawan kay suhanay mousam main ik naar mili badal jaisi 
Be'pankh uranein leti hai jo apnay hi aanchal jaisi 

Woh jis ki qamar tak choti hai , rangat main laal barooti hai 
Chu kar jo ussay dekha main ne woh mujh ko lagi makh'mal jaisi 

Laya hai bana kar us ko dulhan , yeh joban , yeh albela pan 
Is umar main sar se paon tak lagti hai woh taaj mehal jaisi 

Chehray pe sajay aainay , ya do be'dagh nageenay hain 
Kis jheel se ayi hain dhul kar yeh aankhein neel kanwal jaisi 

Jo dekhay ussay woh kho jaye , kho jaye to shair ho jaye 
Us ka andaz hai geeton sa , us ki awaz ghazal jaisi 

Woh jo qateel ab yaad aaye sapna jaisay koi dohraye 
Main aaj bhi su ko chahata hoon , par baat kahan woh kal jaisi

Feb 25, 2016

Sab dil rakhnay ki baatein hain


Sab dil rakhnay ki baatein hain 
Sab asli roop chupatay hain 

Ikhlaq se aari log yahan 
Lafzon kay teer chalatay hain 

Hum khushbu kay soda'gar hain
Aur saccha soda kartay hain 

Jo gaahak khud phoolon jaisa ho 
Hum bin daamon bik jaatay hain 

Hum shaher-e-wafa kay logon ka 
Tum haal bhala kya jano gay 

Hum dil ka dard chupatay hain 
Aur aansoo tak pee jaatay hain

Oct 26, 2015

Ab aur tab


Ab aur tab

kaha us ne
mujhay tab waqai tum se mohabbat thi
kaha main ne
mujhay to aaj bhi tum se mohabbat hai
woh tab ki baat karti hai
main ab ki baat karta hoon
magar jo fasla
tab aur ab ke darmiyan hayel hai 
woh hum se to mil kar bhi sameta ja nahin sakta
woh ab tak aa nahin sakti
main tab ko pa nahin sakta

Poet : Qateel Shfaei

Aug 6, 2015

Yeh zindagi kabhi kabhi ajnabi si lagti hai



Yeh zindagi kabhi kabhi ajnabi si lagti hai
Jidher jidher uthay nazar , kami si lagti hai
Bujhi bujhi si hai keh'kishaan
Dhuwan dhuwan lagay jahan
Hawaein bhi agar choo'ein , jalaein hum ko khushboo'ein
Chragh ki roshni bhi sanwali si lagti hai
Lahu lahu hai Aarzoo , ghubaar hai chaar su
Kabhi gumaan, kabhi yaqeen , qadam kahin nazar kahin
Jo hosh main bhi rahein , be'khudi si lagti hai
YEh zindagi kabhi kabhi ajnabi si lagti hai

Mil kar juda huwey to na soya karain gy hum


Mil kar juda huye to na soya karein gay hum 
Ik doosray ki yaad main roya karein gay hum 

Aansoo chalak chalak kay staein gay raat bhar 
Moti palak palak main piroya karein gay hum 

Jab dooriyon ki aag dilon ko jalaey gi 
Jismon ko chandani main bhigoya karein gay hum 

Gar de gaya dagha hamein toofan bhi qateel 
Saahil pe kashtiyon ko daboya karein gay hum

May 3, 2015

Jab kisi jaam ko honton se lgaya mein ne



Jab kisi jaam ko honton se lgaya mein ne
Raqs krta howa dekha tera saya mein ne
Mujh se math pooch mere mohtasib-e-shehr se pooch
Kiyon teri aankh pe paimaana banaya mein ne 
Loog kehte hein qaseeda wo tere husn ka tha
Aam saa geet jo mehfil mein sunaya mein ne
Maikada bund tha laikin joon hee grja baadal
Apni tauba ko chatkh'ta howa paya mein ne
Shair-o-naghmaat ka rishta kbhi tota na qateel
Jab ghzal ban k wo aaya usay gaaya mein ne

Apr 27, 2015

Mar 28, 2015

Mar 27, 2015

Jab kisi jaam ko honton se lgaya mein ne


Jab kisi jaam ko honton se lgaya mein ne
Raqs krta howa dekha tera saya mein ne

Mujh se math pooch mere mohtasib-e-shehr se pooch
kiyon teri aankh pe paimaana banaya mein ne ?

Loog kehte hein qaseeda wo tere husn ka tha
Aam saa geet jo mehfil mein sunaya mein ne

Maikada bund tha laikin joon hee grja baadal
Apni tauba ko chatkh'ta howa paya mein ne

Shair-o-naghmaat ka rishta kbhi tota na qateel
Jab ghzal ban k wo aaya usay gaaya mein ne

Mar 24, 2015

Mohabbat main agar ghalat fehmi ilzaam tak ponchay


Mohabbat main agar ghalat fehmi ilzaam tak ponchay 
Kissay maloom kis ka naam , kis kay naam tak ponchay 

Teri aankhon kay thukraye huye woh log thay shayed 
Jo ik sharmindagi honton pe le kar jaan tak ponchay 

Sabhi raaston par thay shola fishaan halaat kay suraj
Bhout mushkil se hum un gaiso'on ki shaam tak ponchay

Kisi ne bhi na apni dharkano main di jaga jin ko
Woh saray wal'walay meray dil-e-na'kaam tak ponchay 

Saja kay aaye jab sonay ka chashma apni aakhon par 
Nazar hum muflison ki tab kahan us baam tak ponchay 

Qateel aaina ban jaao zamanay main mohabbat ka 
Agar tum chahtay ho shair-e-ilhaam tak ponchay  

Mar 18, 2015

Be'sada gumbad-e-aflaak meray baad hua


Be'sada gumbad-e-aflaak meray baad hua 
Saaniha yeh bhi alam'naak meray baad hua 

Khaak hi kar diya phir khaak nasheeno ne mujhay 
Khaak ka sara safar khaak meray baad hua 

Samnay meray jissay baat nahin aati thi 
Woh bhi sunta hoon keh chalaak meray baad hua 

Woh mujhay chor kay khush baash nahin reh sakta Qateel
Aur us ko bhi yeh idraak meray baad hua

Mar 12, 2015

Sadma to hai mujhay bhi keh tujh se juda hoon main


Sadma to hai mujhay bhi keh tujh se juda hoon main 
Lakin yeh sochta hoon keh ab kya tera hoon main 

Bikhra para hai meray hi ghar main tera wajood
Be'kaar mehfalon main tujhay dhoondta hoon main 

Main khud'kushi kay jurm ka karta hoon ehtraaf 
Apnay badan ki qabar main kab se parra hoon main 

Kis kis ka naam loon main zuban par keh teray saath 
Her roz naya shakhs kharra dekhta hoon main 

Kya janay kis ada se liya tu ne mera naam 
Duniya samjh rahi hai keh sab kuch tera hoon main 

Poncha jo teray dar pe to mehsoos yeh hua 
LAmbi si ik qataar main jaisay kharra hoon main 

Lay meray tajarbon se sabaq Ae meray raqeeb 
Do chaar saal tujh se umar main bara hoon main 

Jaaga hua zameer hai woh Aaina "Qateel"
Sonay se pehlay roz jissay dekhta hoon main 


Mar 11, 2015

Jab tasawur mera chupkay se tujhay choo aaye


Jab tasawur mera chupkay se tujhay choo aaye 
Apni her saans se mujh ko teri khushboo aaye

Mashgala ab hai mera chand ko taktay rehna 
Raat bhar chain na mujh ko kisi pelu aaye

Jab kabhi gardish-e-doran ne sataya mujh ko 
Meri janib teray phailay huye baazu aaye 

Jab bhi socha keh shab-e-hijar na ho gi roshan
Mujh ko samjhanay teri yaad kay jugnoo aaye

Kitna hasaas meri Aas ka sanaata hai
Keh khamoshi bhi jahan baandh kay ghungaroo aaye

Mujh se milnay ko sar-e-shaam koi saaya sa
Teray aangan se chalay aur lab-e-ju aaye

Us kay lehjay ka asar to hai bari baat "Qateel"
Woh to aankhon se bhi karta huwa jaadu aaye

Mar 10, 2015

Wafa kay sheesh mahal main saja liya main ne


Wafa kay sheesh mahal main saja liya main ne 
Woh ik dil jissay pathar bana liya main ne 

Yeh soch kar keh na ho qismat main khushi koi
Ghamon ki oat main khud ko chupa liya main ne 

Kabhi na khatam kiya main ne roshni ka mohaaz
Agar chragh bujha dil jala liya main ne

Kamal yeh hai keh jo dushman pe chalaana tha 
Woh teer apnay kalejay pe kha liya main ne "Qateel"

Jis ki adawat main ek pyaar bhi tha 
Us Aadmi ko galay se laga liya main ne 


Mar 9, 2015

Laa'haq hai yahan marz mohabbat ka sabhi ko


Laa'haq hai yahan marz mohabbat ka sabhi ko 
Iss shaher kay logon main waba aam bhout hai 

Her darja sharafat ka libaas hai orha 
Aur dil main haqaarat ki bala aam bhout hai 

Rishton kay yahan paas to rakhtay hain sabhi par 
Hairat hai keh lutnay ki sada aam bhout hai 

Daawa hai keh her fard wafadaar hai yahan 
HAi darj kitaabon main jafa aam bhout hai 

Tum naik tamana'ein to rakhtay ho bhout "Qateel"
Iss shaher main naiki ki saza aam bhout hai 

Mar 7, 2015

Iss tarah de gaya ik shakhs hawalay apnay


Iss tarah de gaya ik shakhs hawalay apnay 
Jis tarah chaand lutaata hai ujaalay apnay 

Aik hasrat hai keh jee bhar kay na dekha us ko 
Aik armaan hai keh armaan na nikaalay apnay 

Main woh tinka keh sar-e-moj kahin kho jaaon 
Tu woh dariya jo kinaray bhi baha lay apnay 

Dekh kar shaam-o-sehar faiz risaani teri 
Kitnay chotay nazar aatay hain piyalay apnay 

Mai barasti hai wahan aaj bhi her waqat "Qateel"
Meray saaqi ne jahan jaam uchaalay apnay

Mar 6, 2015

Honton pe saahilon ki tarah tishnagi rahi


Honton pe saahilon ki tarah tishnagi rahi
Main chup huwa to meri ana cheekhti rahi 

Ek naam kiya likha teray saahil ki rait pe 
Phir umar bhar hawa se meri dushmani rahi 

Sarkon pe sard raat rahi meray hamsafar 
Aankhon main meray saath thakan jaagti rahi

Yaadon se khilti rahi tanhai raat bhar 
Khushboo kay intizaar main shab bheegti rahi

Woh lafz lafz mujh pe utarta raha "Qateel"
Sochon pe us kay naam ki takhti lagi rahi

Mar 4, 2015

Na wal'walay woh rahay aur na woh zamana raha


Na wal'walay woh rahay aur na woh zamana raha 
Samaa hayaat ka lakin sadaa sohaana raha 

Ghazal haraam hui , husn pe lagay pehray 
Mera mizaaj magar phir bhi shairaana raha 

Khuda bhi maan liya , bandagi bhi ki us ki 
Taaluq us se magar apna gaayebana raha 

Likha huwa tha meri maazi jis kay tinkon par 
Meri uraan main hayal woh Aashiyaana raha 

Paron kay dhair lagay hain wahan wahan ab bhi 
Jahan jahan kisi panchi ka Aashiyaana raha 

Kahin kahin koi raahat , kahin kahin koi zakham 
Meray naseeb ka manzar wohi puraana raha 

Qateel tark-e-maraasim woh kar gaya phir bhi 
Salook us ka meray saath dostaana raha
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...