Wusat-e-chashm-e-tar bhi daikh'ain gay 
Hum tujhay bhool kar bhi daikh'ain gay 
Zakham pe sibat kar na lab apnay 
Zakham ko chaara gar bhi daikh'ain gay 
Hijar ki shab se hoslay apnay 
Bach gaye to sehar bhi daikh'ain gay 
Ik dua dil se chup kar maangi thi 
Us dua ka asar bhi daikh'ain gay 
Ik purana safar to khatam hua 
Ik nayi raah'guzar bhi daikh'ain gay 
Gin to lenay do be'kafan laashain 
Be'sada baam-o-dar bhi daikh'ain gay 
Raat honay do , log sonay do 
Chaand ko dar'badar bhi daikh'ain gay 
Chair kar dil ki raakh ko "Mohsin "
Ab kay raqas-e-shrar bhi daikh'ain gay 
Poet : Mohsin Naqvi