Jo hadsay yeh jahan mere naam karta hai 
Mera sha'oor unhain unahin nazar-e-jaam karta hai 
Hamaray chaak-e-giribaan se khailnay walo 
Hamain bahaar ka suraj salaam karta hai 
Hum hi se mili hai qos-e-qaza ko rangeeni 
Hamaray dar pe zamana Qayaam karta hai 
Yeh hai meh;kada , yahan ki her sai ka hazoor
Gham-e-hayaat bhout ehtraam karta hai 
Faqia-e-shaher ne tohmat lagai hai sagar par 
Yeh shakhs dard ki doulat aam karta hai