Kis khawab ki yeh hum ko tabeer nazar aayi 
Zindaan nazar aaya , zanjeer nazar aayi 
Sab apnay azabon main sab apnay hisabon main 
Duniya yeh qayamat ki tasveer nazar aayi 
Kuch dekhtay rehnay se , kuch sochtay rehnay se
Ek shakhs main duniya ki taqdeer nazar aayi 
Jalta tha main Aagon main rota tha main khawabon main 
Tab harf main yeh apni tasveer nazar aayi 
Darbaar main haazir hain phir ehal-o-qalam apnay 
Kya harf-e-biyaan main hai taseer , nazar aayi 
Ek khawab kay aalam main dekha keh hum dono 
Lo shamma ki shab hum ko shamsheer nazr aayi 
Un zameeno main woh kaam kiye hum ne 
Phir un ki zameen apni jageer nazar aayi