Abar barsa na hawa taiz chali hai ab keh 
Kitni veeran teri yaadon ki gali hai ab keh 
Subh ki dhoop utar aayi hai meray baalon main 
Shab dhali hai keh meri umar dhali hai ab keh 
Kya kahoon kitnay bahano se bhulaya hai ussay 
Yeh qayamat barri mushkil se tali hai ab keh 
Sehan-e-gulshan ki hawa hai keh fiza ki dastak 
Kitni sehmi hui ik ik kali hai ab keh 
Ya meri aankh kay kashkol main aansoo chamka 
Ya andehray main koi shama jali hai ab keh 
Kis ko fursat hai dhuwaan dekhnay jaye Mohsin 
Jhonpari bhi shaher se kuch door jali hai ab keh