Shaam-e-fursat dhalay , hum nahin chahtay 
Gham se fursat milay , hum nahin chahtay 
Phir naya waar sehnay ko tiyaar hain 
Tu parishaan rahay hum nahin chahtay 
Aaj aansoo bahanay se , mat roko 
Aaj baarish thammay, hum nahin chahtay 
Hum teray baad ujray hon, to bhi theek hai 
Ab kahin dil lagay , hum nahin chahtay 
Teray paikar ko hum dekhtay hi rahain 
Tu nazar se hattay , hum nahin chahtay 
Kis qadar dil'nasheen hai yeh mojon ka shor
Gham ka dariya rukay hum nahin chahtay 
IS qadar pyaar se tu pakra na kar 
Aag dil ko lagay hum nahin chahtay