Sadma to hai mujhay bhi keh tujh se juda hoon main 
Lakin yeh sochta hoon keh ab kya tera hoon main 
Bikhra para hai meray hi ghar main tera wajood
Be'kaar mehfalon main tujhay dhoondta hoon main 
Main khud'kushi kay jurm ka karta hoon ehtraaf 
Apnay badan ki qabar main kab se parra hoon main 
Kis kis ka naam loon main zuban par keh teray saath 
Her roz naya shakhs kharra dekhta hoon main 
Kya janay kis ada se liya tu ne mera naam 
Duniya samjh rahi hai keh sab kuch tera hoon main 
Poncha jo teray dar pe to mehsoos yeh hua 
LAmbi si ik qataar main jaisay kharra hoon main 
Lay meray tajarbon se sabaq Ae meray raqeeb 
Do chaar saal tujh se umar main bara hoon main 
Jaaga hua zameer hai woh Aaina "Qateel"
Sonay se pehlay roz jissay dekhta hoon main