Naye Saal Ki Pehli Nazam 
Andeshon kay darwazon par 
Koi nishaan lagata hai 
Aur raaton raat tamaam gharon par 
Wohi siyahi phir jaati ahi 
Dukh ka shab-e-khoon roz adhoora reh jaata hai 
Aur shanakht ka lamha beet'ta jaata hai 
Main aur mera shaher-e-mohabbat
Tareeki ki chadar orhay 
Roshni ki aahat par kaan lagaye kab se baithay hain 
Ghoron ki taapon ko suntay rehtay hain 
Had-e-smaat se aagay jaanay wali awazon kay resham se 
Apni rida-e-siyaah par taaray kaarhtay rehtay hain 
Angishtaanay ik ik kar kay chalni honay ko aye 
Ab baari angisht-e-shahdat ki anay wali hai 
Subha se pehlay woh katnay se bach jaye .... to 
Parveen Shakir