Asar us ko zara nahin hota 
Ranj rahat fiza nahin hota 
Tum hamaray kisi tarah na huye 
Warna duniya main kya nahin hota 
Na'rasai se dam ruk to ruk 
Main kisi se khafa nahin hota 
Tum meray paas hotay ho goya 
Jab koi doosra nahin hota 
Haal-e-dil yaar ko likhon kiyon kar 
Haath dil se juda nahin hota 
Kiyon sune Arz-e-Muztarib ae Momin
Sanam Aakhir Khuda nahin hota