Hijar ki aankhon se aankhein to milatay jaaiye 
Hijar main karna hai kya yeh to bata'tay jaaiye 
Ban kay khushbu ki udasi rehna dil kay baagh main 
Door hotay jaaiye , nazdeek aatay jaaiye 
Jatay jatay aap itna kaam to keejiye mera 
Yaad ka sara sar-o-samaan jalatay jaaiye 
Reh gayi umeed to bar'baad ho jaon ga main 
Jaaiye to phir mujhay sach much bhulatay jaaiye 
Zindagi ki anjuman ka bas yahi dastoor hai 
Barh kat mil'iye aur mil kar door ho jaaiye 
Aakhri rishta to hum main ik khushi ik gham ka tha 
Muskuratay jaaiye aansu bahatay jaaiye 
Woh gali hai ik sharabi chasham-e-kaafir ki gali 
Us gali main jaaiye to larr'kharatay jaaiye 
Aap ko jab mujh se shikwa hi nahin koi to phir 
Aag hi dil main lagani hai lagatay jaaiye 
Kooch hai khawabon se tabeeron ki simaton main to phir 
Jaaiye par dam-ba-dam bar'baad jaatay jaaiye 
Aap ka mehmaan hoon main , aap meray mezbaan 
So mujhay zehar-e-murawat to pilatay jaaiye 
Hai sar-e-shab aur meray ghar main nahin koi chragh 
Aag to is ghar main jaana na lagatay jaaiye