Urdu and English Poetry of famous authors, short poetry, two liners and complete Ghazals and Nzams & Many More ...
Jan 10, 2018
Lo aaj hum chor detay hain
Lo aaj hum chor detay hain 
Tumharay haal pe tum ko 
Na ab kuch tum se poochein gay 
Na kuch tum ko bata'ein gay 
Na teri shaad'mani pe 
Kabhi hum shaad'maan hon gay 
Na teray dukh kabhi hum 
Apnay dil kay paas laa'ein gay 
Haan jo kuch tum ne chaha hai 
Wohi kar kay dikha'ein gay 
Magar 
Ab hum jo ja'ein gay 
Kabhi wapis na Aa'ein gay 
So apnay dil kay parday ko 
Hamesha hi gira rakhna 
Nazar jo hum kabhi Aa'ein 
Na tum hum ko sada dena 
Subscribe to:
Comments (Atom)









