Ujray huye harappa kay asaar ki tarah 
Zinda hain log waqat ki raftaar ki tarah 
Kiya rehna isi shaher main majbooriyon kay saath 
Biktay hain log shaam kay aakhbaar ki tarah 
Bachon ka rizq mout kay joo'ay main rakh diya 
Circus main kood'tay huye funkaar ki tarah 
Qatil bar'jamaan hai munsif kay saaye main 
Maqtool phir raha hai Azadar ki tarah 
Waaday zarooraton ki nazar kar diye gaye 
Rishtay hain saaray rait ki dewaar ki tarah 
Mohsin meray wajood ko sang'saar kartay waqat 
Shamil tha sara shaher ik tehwaar ki tarah