Hum karein baat daleelon se to radd hoti hai 
Uss kay honton ki khamoshi bhi sanad hoti hai 
Saans letay huye insaan bhi hain laashon ki tarah 
Ab dharaktay huye dil ki bhi lahad hoti hai 
Apni awaz kay pathar bhi na un tak ponchay 
Uss ki aankhon kay ishaaray main bhi zad hoti hai 
Jis ki gardan main hai phanda wohi insaan bara 
Sooliyon se yahan paimaish -e-qad hoti hai 
Shuabda gar bhi  pehanatay hain khateebon kay libaas 
Bolta jahan hai badnaam khurad hoti hai 
Kuch na kehnay se bhi chin jaata hai Aizaz-e-sukhan 
Zulam sehnay se bhi zaalim ki madad hoti hai