Urdu and English Poetry of famous authors, short poetry, two liners and complete Ghazals and Nzams & Many More ...
Showing posts with label Gulzar Poetry. Show all posts
Showing posts with label Gulzar Poetry. Show all posts
Dec 19, 2017
Apr 26, 2016
Rukay rukay se qadam ruk kay baar baar chalay
Rukay rukay se qadam ruk kay baar baar chalay
Qaraar de kay teray dar se be'qaraar chalay
Uthaye phirtay thay ehsaan jisam ka jaan par
Chalay jahan se to yeh peh'rahan utaar chalay
Na janay kon si matti watan ki matti thi
Nazar main , dhool , jigar main liye ghubaar chalay
Sehar na aayi kai baar neend se jaagay
So raat raat ki yeh zindagi guzaar chalay
Mili hai shamma se yeh rasm-e-aashiqui hum ko
Gunnah haath pe lay kar gunnag gaar cahlay
Shaam se aankh main nami si hai
Shaam se aankh main nami si hai
Aaj phir raat ki kami si hai
Dafan kar do hamein keh saans aaye
Nabaz kuch dair se thami si hai
Kon pathraa gaya hai aankhon main
Barf palkon pe kiyon jami si hai
Waqat rehta nahin kahin tik kar
Aadat us ki bhi aadmi si hai
Aaiye raastay alag kar lain
Yeh zaroorat bhi bahami si hai
Aug 18, 2014
Mujh ko bhi tarkeeb sikha koi yaar jula hai
Mujh ko bhi tarkeeb sikha koi yaar jula hai
Aksar tujh ko dekha hai tana buntay
Jab koi dhaga toot gaya ya khatam hua
Phir se bandh kay
Aur sira koi jor kay us main
Aagay bun'nanay lagtay ho
Teray us taanay main lakin
Aik bhi ganth girah bintar ki
Koi dekh nahin sakta
AMin ne to aik baar buna tha aik hi rishta
Lakin us ki sari girhain saaf nazar aati hain
Mere yaar jula hai
Poet : Gulzaar
Aug 15, 2014
Zindagi kay jo qarz denay hain
Itni mohlat kahan keh ghutno se
Sar utha kar mulk ko dekh sakon
Apnay tukray utha'on daanton se
Zara zara karaidta jayon
Cheelta jayon rait se afshaan
Waqat baitha hua hai gardan par
Torta ja raha hai tukron main
Zindagi de kay bhi nahin chuktay
Zindagi kay jo qarz denay hain
Poet : Gulzaar
Jul 21, 2014
Raat chup chaap dabay paaon chali jaati hai
Kaash ik baar
Raat chup chaap dabay paaon chali jaati hai
Sirf khamoshi hai , roti nahin , hansti bhi nahin
Kaanch ka neela sa gumbad bhi urra jaata hai
Khaali khaali koi bajra sa bahaa jaata hai
Chaand ki kirno main woh roz sa resham bhi nahin
Chaand ki chikni dali hai keh ghulli jaati hai
Aur snaaton ki ik dhool urri jaati hai
Kaash ik baar kabhi neend se uth kar tum bhi
Hijar ki raaton main yeh dekho to kiya hota
Poet : Gulzaar
Shaam se aankhon main nami si hai
Shaam se aankhon main nami si hai
Aaj phir aap ki kami si hai
Waqat rehta nahin kahin tik kar
Is ki aadat bhi aadmi si hai
Poet : Gulzaar
May 18, 2014
Tujh se naraz nahin zindagi hairaan hoon main
Tujh se naraz nahin zindagi hairaan hoon main
Teray masoom sawalon se parishaan hoon main
Jeenay kay liye socha hi na tha dard sambhalnay hon gay
Muskura'on to muskuranay kay qarz utarnay hon gay
Muskuraon kabhi to lagta hai
Jaisay honton pe qarz rakha hai
Tujh se naraz nahin zindagi hairaan hoon main
Aaj agar bhar ayi hain , boondain baras jayein gi
Kal kya pata in kay liye aankhein taras jayein gi
Janay kahan gum hua kahan khoya
Aik aansoo chupaa kay rakha tha
Tujh se naraz nahin zindagi hairaan hoon main
Zindagi teray gham ne hamein rishtay naye samjhaye
Milay jo hamein dhoop main milay chaaon kay thanday saaye
Tujh se naraz nahin zindagi hairaan hoon main
Mar 13, 2014
Shaam se aaj saans bhari hai
Shaam se aaj saans bhari hai
Be-qarari si ba-qarari hai
Aap ke baad her ghari hum ne
Aap ke sath hi guzari hai
Raat ko de do chandi ki rida
Din ki chadar abhi utari hai
Shaakh pe koi qeh'qaha to khilay
Kaisi chup se chaman pe tari hai
Kal ka her waqiya tumhara tha
Aaj ki dastaan hamari hai
Poet : Gulzaar
Subscribe to:
Comments (Atom)

