Shayed abhi hai raakh main koi sharaar bhi
Kiyon warna intizaar bhi hai iztaraar bhi
Dhiyaan aa gaya hai marg-e-dil-e-na'muraad ka
Milnay ko mil gaya hai sakoon bhi qaraar bhi
Ab dhoondnay chalay ho musaafir ko dosto
Had-e-nigaah tak na raha jab ghubaar bhi
Her Aastaan pe naasiya-farsaa hain aaj woh
Jo kal na kar sakay thay tera intizaar bhi
Ik raah ruk gayi to thit'tak kiyon gaye Ada
Aabaad bastiyaan hain paharron kay paar bhi