Urdu and English Poetry of famous authors, short poetry, two liners and complete Ghazals and Nzams & Many More ...
Dec 9, 2017
Abhi pehli mohabbat kay bhout se qarz baqi hain
Abhi pehli mohabbat kay 
Bhout se qarz baqi hain 
Abhi pehli musafat ki 
Thakan se choor hain paaon 
Abhi pehli rafaqat ka 
Her ik ghaao salamat hai 
Abhi maqtool khawabon ko 
Bhi dafnaya nahin hum ne 
Abhi aankhein hain Id'dat main 
Abhi yeh sog kay din hain 
Abhi iss gham ki kafiyat se 
Baahir kis tarah aayein 
Abhi is gham ko bharnay do 
Abhi kuch din guzarnay do 
Yeh gham kay neel'goon dariya 
Utar jayein to sochein gay 
Abhi yeh zakham taza hain
Yeh bhar jayein to sochein gay 
Dobara kab ujarna hai ???? 
Mohabbat rait jaisi thi
Mohabbat rait jaisi thi 
Mujhay yeh ghalat fehmi thi 
Keh mohabbat dhair sari thi 
Main dono haath bhar bhar kar 
Mohabbat ko sambhalon gi 
Zamanay se chup'pa loon gi 
Kabhi khonay nahin doon gi 
Magar , main ne isi darr se 
Keh mohabbat hi na kho jaye 
Yeh muthiyan band rakhi thein 
Magar , jab muthiyaan kholi 
To dono haath khaali thay 
Mohabbat kay sawali thay 
Kiyon keh ,,,
Mohabbat rait jaisi thi 
Subscribe to:
Comments (Atom)













