Rukhsat ki kasak rahi hai ab tak 
Ik shaam sulag rahi hai ab tak 
Shab kis ne yahan qadam rakha tha 
Dehleez chamak rahi hai ab tak 
Maathay pe woh lab thay saniya bhar 
Aur rooh mehak rahi hai ab tak 
Dekha hai yeh kis nazar se us ne 
Tasveer damak rahi hai ab tak 
Jo baat kahi nahin thi us se 
Lehjay main khanak rahi hai ab tak 
Kab ka hua khaali saghar shaam 
May hai keh chalak rahi hai ab tak 
Bin aks yahi kaisi jag'magahat 
Sheeshay se jhalak rahi hai ab tak 
Woh chasham keh baagh aashna hai 
Jungle main bhattak rahi hai ab tak  
Dono kay labon tak aatay aatay 
Ik baat atak rahi hai ab tak 
Baarish ki hai chah shaakh ko aur 
Badal se jhijak rahi hai ab tak 
Shano pe nahin woh haath lakin 
Chadar si sarak rahi hai ab tak 
