Showing posts with label Iftikhar Arif Poetry. Show all posts
Showing posts with label Iftikhar Arif Poetry. Show all posts

Apr 20, 2016

Ishq kaisa keh bharosa bhi nahin tha shayed


Ishq kaisa keh bharosa bhi nahin tha shayed 
Us se mera koi rishta bhi nahin tha shayed

Khalqat-e-shaher main jis haar kay char'chay hain bhout 
Main woh bazi kabhi khela bhi nahin tha shayed 

Zeest karnay kay sab andaz ussay az'bar thay 
Mujh ko marnay ka saleeqa bhi nahin tha shayed

Khaak uratay huye bazaron main dekha sab ne 
Main kabhi ghar se nikalta bhi nahin tha shayed

Us ki aankhon main bisharat thi naye khawabon ki 
Main ussay dekh kar chonka bhi nahin tha shayed 

Aik badal meray jo naam se mansoob hua 
Meray sehraa main to barsa bhi nahin tha shayed 

May 6, 2015

Haami bhi na thay munkar-e-ghalib bhi nahin thay


Haami bhi na thay munkar-e-ghalib bhi nahin thay 
Hum ehal-e-taz'ba'zab kisi janib bhi na thay 

Is baar bhi duniya ne hadaf hom ko banaya 
Is baar to hum sheh kay masahib bhi na thay 

Bech aaye sar-e-qariya zar jo hum behar-e-pindaar 
Jo daam milay aisay munasib bhi na thay 

Matti ki mohabbat main hum ashafta saron ne 
Woh qarz utaray hain keh wajib bhi na thay 

Lo deti hai raat sukhan karta hua din 
Sab is kay liye jis se mukhatab bhi na thay 


Meray khuda mujhay itna to moh'tabar kar de


Meray khuda mujhay itna to moh'tabar kar de 
Main jis makaan main rehta hoon us ko ghar kar de 

Yeh roshni ke ta'aqab main bhaagta hua din 
Jo thak gaya to ab is ko muktasir kar de 

MAin zindagi ki dua mangney laga hoon bhout 
Jo ho sake to duaon ko be'asar kar de

Sitaara-a-sehri doobney ko aya hai 
Zara koi meri soch ko ba'khabar kar de 

Meri zameen mera aakhri hawala hai 
So main rahoon na rahoon is ko barwar kar de 

MAin apne khwaab se kat kar jeeon to mere khuda 
Ujaar de meri matti ko dar'badar kar de

Apr 27, 2015

Hijar ki dhoop main chaaon jaisi baatein kartay hain


Hijar ki dhoop main chaaon jaisi baatein kartay hain 
Aansoo bhi to maaon jaisi baatein kartay hain 

Khud ko bikhartay dekhtay hain kuch kar nahin patay lakin 
Phir bhi log khudaon jaisi baatein kartay hain

Mar 10, 2015

Sulah karna to ik bahana tha


Sulah karna to ik bahana tha 
Go keh andaaz qaatlana tha 

Jaan se guzray to bhaid yeh paya 
Woh haqeeqat nahin fasana tha 

Waqat guzra hai aik aisa bhi
Saya-e-zaat jab baigaana tha 

Uss ki manzar kashi pe hairaan hoon 
Kya ta'aruf woh ghaibaana tha 

Dil sulagta tha soz-e-hijran main 
Na'rasa uss ka shaaksana tha 

Ranjishein aur barh gayi hon gi 
Dushman-e-jaan mera zamana tha

Parh kay roya kalam-e-Arif ko
Aik aik harf Arfana tha  

Jul 2, 2014

Mere khuda mujhe itna to moh'tabar kar de


Mere khuda mujhe itna to moh'tabar kar de 
Main jis makaan main rehta hoon us ko ghar kar de 

Yeh roshni ke ta'aqab main bhaagta hua din 
Jo thak gaya to ab is ko muktasir kar de 

MAin zindagi ki dua mangney laga hoon bhout 
Jo ho sake to duaon ko be'asar kar de

Sitaara-a-sehri doobney ko aya hai 
Zara koi meri soch ko ba'khabar kar de 

Meri zameen mera aakhri hawala hai 
So main rahoon na rahoon is ko barwar kar de 

MAin apne khwaab se kat kar jeeon to mere khuda 
Ujaar de meri matti ko dar'badar kar de 

Poet : Iftikhaar Arif

May 21, 2014

Meri zindagi main bas ik kitab hai ik chragh hai


Meri zindagi main bas ik kitab hai ik chragh hai 
Ik khawab hai aur tum ho 
Yeh kitab-o-khawab kay darmiyan jo manzilin hain , main chahta hoon 
Tumharay saath basar karon 
Yahi kul asasa-e-zindagi hai , isi ko zaad-e-safar karon 
Kisi aur simt nazar karon to meri dua main asar na ho 
Meray dil kay jaada-e-khush'khabar pe ba'juz tumharay kabhi kisi ka guzar na ho 
Magar is tarah keh tumhein bhi is ki khabar na ho 
Isi ehtiyaat main sari umar guzar gayi 
Woh jo aarzoo thi kitab-o-khawab kay saath tum bhi shareek ho wohi mar gayi
Isi kash'ma'kash ne kai sawal uthaye hain 
Woh sawal jin ka jawab meri kitab main hai na khawab main 
Meray dil kay jada-e-khush'khabar kay rafeeq 
Tum hi batao phir keh yeh kar-o-baar-e-hayat kis kay hisaab main 
Meri zindagi main bas ik kitab ik chragh hai 
Ik khawab hai aur tum

Mar 5, 2014

diyaar-e-noor main tera shabon ka sathi ho



diyaar-e-noor main tera shabon ka sathi ho
koi to ho jo meri wehshton ka sath ho

Main us se jhoot bhe bolon tu mujh se sach bolay
meray mizaaj ke sab mousamon ka sathi ho

Main us ke hath na ayon woh mera ho ke rahay
Main gir paron tu meri pastiyon ka sathi ho

Karay kalam jo mujh se to meray lehjay main
Main chup rahon tu meray tawaron ka sathi ho 

Main apney ap ko dekhon woh mujh ko dekhay jaye
Woh meray nafas ki gumrahiyon ka sathi ho

Woh khwaab dekhay to dekhay meray hawalay se
Meray khyal ke sab manzaron ka sathi ho

Poet : Iftikhar Arif
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...