Thahar gaye thay sar-e-rah guzar bas youn hi 
Tumhara kartay rahay intezaar bas youn hi 
Yeh jaan kar bhi keh tu apni das'taras main nahin 
Wafa ka kheench diya ik hisaar bas youn hi 
Woh mera tha hi nahin , main kisi se kiyon kehti 
Yeh raaz ho gaya hai Aash'kaar bas youn hi 
Tum apnay ehad main na'mohtabar sada kay thay 
Tumhara kar liya phir Aitbaar bas youn hi 
Hazar baar tumhein jeetnay ki koshish main 
Tumharay samnay maani hai haar bas youn hi 
Shikaar honay kay dar seliye diye se rahay 
Yeh teer ho gaya hai aar paar bas youn hi 
Hamaray qariya-e-jaan par hakoomatein kar lo 
Tumhein yeh de rahay hain ikhtiyaar bas youn hi 
Meri zameen pe qayamat to nayi baat na thi 
Yeh aankh ho gayi hai ashkbaar bas youn hi 
Phir aik baar lahu main hain hidatein jaagein 
Utar na jaye yeh bukhaar bas youn hi 







