Showing posts with label Jon Elia Poetry. Show all posts
Showing posts with label Jon Elia Poetry. Show all posts

Jan 10, 2018

Dec 9, 2017

Chara sazon ki chara sazi se


Chara sazon ki chara sazi se

Dard bad'naam to nahin ho ga 

Haan , dawa do magar yeh batloo do 

Mujhay Aaraam to nahin ho ga 


Sep 5, 2017

Apr 30, 2017

Jan 23, 2017

Jan 5, 2017

Jan 4, 2017

Yeh mujhay chain kiyon nahin parta


Yeh mujhay chain kiyon nahin parta 

Aik hi shakhs tha jahan main kya 

Teri yaadon kay raastay ki taraf



Teri yaadon kay raastay ki taraf 


Ik qadam bhi nahin barhon ga main 


Dil tarapta hai teray khatt parh kar 

Ab teray khatt nahin parhon ga main 

Ajab tha us ki dil'daari ka andaaz




Ajab tha us ki dil'daari ka andaaz 

Woh barson baad jab mujh se mila hai 

Bhala main poochta us se to kaisay 

Mata-e-jaan ! tumhara naam kya hai ?

Baat hi kab kisi ki maani hai



Baat hi kab kisi ki maani hai 

Apni hatt poori kar kay choro gi 

Yeh kalaai yeh jisam aur yeh kamar 

Tum surahi zaroor toro gi 

Tishna-e-naaz ne be'haal kiya hai tum ko



Tishna-e-naaz ne be'haal kiya hai tum ko 

Apnay hi zor main kam'zor hui jaati ho

Main koi aag nahin , aach nahin , dhoop nahin 

Kiyon paseenay main sharaboor hui jaati ho 

Ik gumaan-e-be'gumaan hai zindagi



Ik gumaan-e-be'gumaan hai zindagi 
Daastan ki daastan hai zindagi 

Dam ba dam hai ik firaaq-e-jawidaan 
ik jabeen-e-be'aastaan hai zindagi 

Keh'kishan bar keh'kishan hai ik guraiz
Bood-e-be'sood-o-ziyaan hai zindagi 

Hai meri tehra nigahi ik talash 
Tum kahan ho aur kahan hai zindagi

Kuch nahin tha kya haqeeqat kya khayal



Kuch nahin tha kya haqeeqat kya khayal 

Aik afsanay thay mumkin aur mohaal 

Ik "Abas" main khoon-e-dil thooka gaya 

Koi bhi halat nahin thi aur haal
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...