Showing posts with label Lyrics Songs. Show all posts
Showing posts with label Lyrics Songs. Show all posts

Mar 25, 2017

O saahiba, o saahiba



O saahiba, o saahiba
O saahiba, o saahiba
O saahiba, o saahiba
O saahiba, o saahiba

Milen gay tum se to bataayen gay
Keh kitna pyaar hai hamein

Milen gay tum se to bataayen gay
Keh kitna pyaar hai hamein

O saahiba, o saahiba
O saahiba, o saahiba 

Kaise kati raatein, kaise kate woh din
Kaise jeeye tanha, kaise rahe tere bin

Chaaron taraf phaili dard ki tanhai
Shaam-o-saher hum ko yaad teri aayi

O saahiba, o saahiba
O saahiba, o saahiba

Apni nigaahon mein tum ko basa lain gay 
Dil ki dhadkan mein tum ko chhupa lain gay 

Hum pe jo guzri hai tum ko bataayen gay
Cheer kay dil apna tumko dikhaayen gay

O saahiba, o saahiba
O saahiba, o saahiba

Milen gay tum se to bataayen gay
Keh kitna pyaar hai hamein

Milen gay tum se to bataayen gay
Keh kitna pyaar hai hamein

O saahiba, o saahiba
O saahiba, o saahiba

Jul 29, 2015

Kabhi khamosh baitho gay , kabhi kuch gun'gunao gay



Kabhi khamosh baitho gay , kabhi kuch gun'gunao gay
Main itna yaad aayon gi mujhay jitna bhulao gay

Koi jab pooch baithay ga khamoshi ka sabab tum se
Bhout samjhana chaho gay magar samjha na paao gay

Kabhi duniya mukamal ban kay aaye gi nigahon main
Kabhi meri kami duniya ki her shai main paao gay

Kahin par bhi rahain hum aur tum mohabbat phir mohabbat hai 
tumhain hum yaad aayein gay hamein tum yaad aayo gay

Dec 23, 2014

Tum bin jiya jaye kaisay


Tum bin jiya jaye kaisay 
KAisay jiya jaye tum bin 
Sadiyon se lambi hain raatain 
Sadiyon se lambay huye din 
Aa jaao loat kar tum 
YEh dil keh raha hai 

Phir shaam-e-tanhai jaagi hai 
Phir yaad tum aa rahay ho 
Phir jaan nikalnay lagi hai 
Phir mujh ko tarpaa rahay ho 
Aa jaao loat kar tum 
YEh dil keh raha hai 
IS dil se toofan guzartay hain 
Tum bin to na jeetay na martay hain 
Aa jaao loat kar tum 
Yeh dil keh raha hai

Dec 21, 2014

Chaand taaron main nazar aaye chehra tera


Dil kay aainay main tujh ko saja liya 
JAb se main ne tujh ko apna bana liya 

Chaand taaron main nazar aaye chehra tera 
Jab se meray dil pe hua hai sanam pehra tera 

Ek ddojay kay dil main apna ghar banaa'na hai 
Teri khaatar sabhi hadon se guzar jaana hai 

Tujh se lipta rahoon ga ban kar kangna tera 
 Chaand taaron main nazar aaye chehra tera 

Pyaar main hum sanam yeh saara jag bhula dain gay 
Mar kay waday chahaton kay hum nibha dain gay 

Jaan se bhi mujhay hai pyaara sajan mera 
Chaand taaron main nazar aaye chehra tera

Dec 14, 2014

Chaha hai tujh ko chah'on ga her dam


Chaha hai tujh ko chah'on ga her dam 
Mar kay bhi dil se yeh pyaar na ho ga kam 
Teri yaad jo aati hai meray ansoo behtay hain 
Apna to milan ho ga  pal pal yeh kehtay hain 
Kiya yeh zindgaani hai bas teri kahaani hai

Bas teri kahaani hai yeh jo zindgaani hai 

Chaha hai tujh ko chaah'oonga her dam 
Mar kay bhi dil se yeh pyaar na ho ga kam 

Teri woh baatain , woh chahat ki rasmain 
Jhootay thay waday kiya jhooti thi qasmain 
Jaan-e-tamana kiya yeh sach hai bas itna keh dy 
Toot jaye na lamha aaitabar ka 
Dy koi sila meray intizaar ka 

Chaha hai tujh ko chaah'oonga her dam 
Mar kay bhi dil se yeh pyaar na ho ga kam 

Teri hoon teri jo chahaye qasam lay lay 
Mujh ko hum'raahi tu apnay gham dy dy 
Sari umar hai mujh ko dard hudai ka sehna 
Raastay main khoyi hai manzil meri 
Meray saath jayein gi mushkalain meri 

Chaha hai tujh ko chaah'oonga her dam 
Mar kay bhi dil se yeh pyaar na ho ga kam 

Tu samnay hai meray phir kiyon yeh doori hai 
Tujhay kaisay bataon main hai kiya majboori hai 
Yeh bhi koi jeena hai sirf aansoo peena hai 
Sirf aansoo peena hai yeh bhi koi jeena hai 

Chaha hai tujh ko chaah'oonga her dam 
Mar kay bhi dil se yeh pyaar na ho ga kam

Ek husan ki devi se mujhay pyaar hau tha


Ek husan ki devi se mujhay pyaar hau tha , hay pyaar hua tha 
Dil us ki mohabbat main griftaar hau tha 
Ek husan ki devi se mujhay pyaar hau tha , hay pyaar hua tha 
Woh roop kay jis roop se kaliyaan bhi lajain 
Woh zulf keh jis zulf se sharmaein ghataein 
Meh'khaanay nigahon pe , adaon kay traanay 
Dy daal mujhay husan-o-mohabbat kay khazanay 
Haan aisi hi ek raat thi 
Aisa hi sama tha
Yeh chaand bhi poora tha 
Zamana bhi jawan tha 
Ek pairr kay saaye main jab iqraar hua tha 

Ek husan ki devi se mujhay pyaar hau tha , hay pyaar hua tha 

Kashmir ki wadi kay woh pur'kaif nazaray
Lamhaat mohabbat kay jahan hum ne guzaray 
Angraeiyaan lay kar meri baanhon kay saharay 
Gul'naar nazar aati thi woh sharm kay maaray
YAk'tarfa na thay husan-o-mohabbat kay isharay
Us ne bhi kai baar meray baal sanwaray 
Ehsaas ka jazbaat ka izhaar hua tha 

Ek husan ki devi se mujhay pyaar hau tha , hay pyaar hua tha 

Kuch roz katay youn hi bura waqat jab aya 
Us husan ki devi ne bhi nazron se giraya 
Qurbat ne zamanay ki nigahon se giraya 
Aanchal meray haathon se mohabbat ne churaya 
Ek raat ko us ne mujhay sota hua chora 
Jaldi woh kahin pyaar ko rota hua chora 
Soya hua main neend se jaga jo saweray 
Woh jab na mili , chaa gaye aankhon main andheray 
Taqdeer kisi ko bhi buray din an dikahaye
Hotay hain buray waqat main apnay bhi paraye
Kiya pyaar ki doulat ka talabgaar hua tha 

Ek husan ki devi se mujhay pyaar hau tha , hay pyaar hua tha 
Dil us ki mohabbat main griftaar hau tha 

Dec 13, 2014

Aankhon se dil main utar kay tu meri dharkan main hai


Aankhon se dil main utar kay tu meri dharkan main hai
Meray yaar meray pyaar teri mehak meray tan mann main hai 

Aankhon se dil main utar kay tu meri dharkan main hai
Meray yaar meray pyaar teri mehak meray tan mann main hai

Teri qasam haan teri qasam 
Pyaar kabhi na ho ga yeh kam dilruba ho gaye teray hum 
Teray liye hi aye hain hum tu hai meray jeenay ki kasam 
Tu hi tu meri shokhi sharam rab mera ab meray sajan main hai 
Aankhon se dil main utar kay tu meri dharkan main hai

Aankhon se dil main utar kay tu meri dharkan main hai
Meray yaar meray pyaar teri mehak meray tan mann main hai

Meray geeton ka suljhan hai tu 
Pyaasa hoon main aur sawan hai tu
Thandi si ek agan hai tu 
Tu megh aur main damini tu raag hai aur main raagni 
Oh sanam teray liye main bani teri khanak meray kangan main hai 

Aankhon se dil main utar kay tu meri dharkan main hai
Meray yaar meray pyaar teri mehak meray tan mann main hai 

Meray geeton ka suljhan hai 



Mujhay teri mohabbat ka sahara mil gaya hota


Mujhay teri mohabbat ka sahara mil gaya hota 
Agar toofan nahin aata kinaara mil gaya hota 

Na tha manzoor qismat ko , na thi marzi bahaaron ki 
Nahin to is gulistaan main , kami thi kiya nazaron ki 

Meri nazron ko bhi koi nazara mil gaya hota 
Agar toofan nahin aata kinaara mil gaya hota 

Khushi se apni aankhon ko , main ashkon se bhigo leti
Meray badlay tu hans leti , teray badlay main ro leti

Mujhay ae kaash tera dard sara mil gaya hota 
Agar toofan nahin aata kinaara mil gaya hota 

Mili hai chandani jin ko , yeh un ki apni qismat hai
Mujhay apnay muqadar se , faqat itni shikayat hai 

Mujhay toota hua koi , sitaara mil gaya hota 
Agar toofan nahin aata kinaara mil gaya hota 

Mujhay teri mohabbat ka sahara mil gaya hota 
Agar toofan nahin aata kinaara mil gaya hota


MAin jahaan rahoon , main kahin bhi hoon teri yaad saath hai


MAin jahaan rahoon , main kahin bhi hoon 
Teri yaad saath hai 
Kisi se kahoon keh nahin kahoon 
Yeh jo dil ki baat hai 

Kehnay ko saath apnay ek duniya chalti hai 
Par chup kay is dil main tanhai palti hai 
Bas yaad saath hai , teri yaad saath hai 

MAin jahaan rahoon , main kahin bhi hoon 
Teri yaad saath hai 

Kahin to dil main yaadon ki ek sooli gar jaati hai 
Kahin to her ik tasveer bhout hi dhundli par jaati hai 
Koi duniya kay naye rangon main khush rehta hai 
Koi sab kuch paa kay bhi yeh mann hi mann kehta hai 

Kehnay ko saath apnay ek duniya chalti hai 
Par chup kay is dil main tanhai palti hai 
Bas yaad saath hai , teri yaad saath hai 

Kahin to beetay kal ki jarain , dil main hi utar jaati hain 
Kahin jo dhaagay tootain to Mala'ein bikhar jaati hain 
Koi dil main jagah nahin baaton kay liye rakhta hai 
Koi apni palkon par yaadon kay diye rakhta hai 

 
Kehnay ko saath apnay ek duniya chalti hai 
Par chup kay is dil main tanhai palti hai 
Bas yaad saath hai , teri yaad saath hai

Bheegi palkon pe naam tumhara hai


Bheegi palkon pe naam tumhara hai
Bheegi palkon pe naam tumhara hai 
Beech bhanwar kashti , bari door kinaara hai 
Bheegi palkon pe naam tumhara hai  
Bheegi palkon pe naam tumhara hai 

Poochain yeh lehrain kiyon hai yeh doori 
Ishq main aakhir kiya hai majboori 
Meray nahin to kiya , meray nahin to kiya 
Mera her pal tumhaara hai 
Bheegi palkon pe naam tumhara hai  
Bheegi palkon pe naam tumhara hai 

Ujraa mera naseeb , haath meray khaali 
Ty salaamat reh , Allah hai waali 
Dil pe kiya guzray , dil pe kiya guzray 
Woh shakhs jo haara hai 
Bheegi palkon pe naam tumhara hai  
Bheegi palkon pe naam tumhara hai 

Bujhnay lagay diye tez hawaon main 
Ab raha na dam meri sadaa'on main
Mout samnay hai kiya khoob nizaara hai 
Bheegi palkon pe naam tumhara hai 
Bheegi palkon pe naam tumhara hai  

Na tum be'wafa ho , na hum be'wafa hain


Na tum be'wafa ho , na hum be'wafa hain 

Magar kiya karain , apni raahain juda hain 

Jahaan thandi thandi hawa chal rahai hai 

Kisi ki mohabbat wahaan jal rahi hai 

Zameen asmaan dono hum se khafa hain 

Abhi kal talak to mohabbat jawaan thi 

Milan hi milan tha , Judai kahan thi 

Magar aaj dono hi be'aasra hain 

Zameen kahay meri raahon main aa jaa

Mohabbat kahay meri baahon main aa jaa 

Woh samjhain na majbooriyaan apni kiya hain 

Ghairon pe karam apno pe sitam ae jaan-e-wafa yeh zulm na kar


Ghairon pe karam apno pe sitam 
Ae jan-e-wafa yeh zulam na kar 
Rehnay dy abhi thora sa bharam 
Ae jaan-e-wafa yeh zulam na kar , yeh zulm na kar

Ghairon pe karam apno pe sitam 

Hum bhi thay teray manzoor-e-nazar 
Dil chaha to ab iqraar na kar 
Sou teer chalay seenay pe magar 
Be'gaano se mil kar waar na kar 
Be'mout kahin mar na jayein hum 
Ae jaan-e-wafa yeh zulm na kar , yeh zulm na kar 

Ghairon pe karam apno pe sitam 

Hum chahnay walay hain teray 
Youn hum ko jalaana theek nahin 
Mehfil main tamasha ban jaye 
Is darja staana theek nahin 
Mar jayein gay hum , mit jayein gay hum 
Ae jaan-e-wafa yeh zulm na kar , yeh zulm na kar

Kahin deep jalay kahin dil


Kahin deep jalay kahin dil 
Zara dekh lay aa kar parwane
Teri kon si hai manzil 
Kahin deep jalay kahin dil

Mera geet meray dil ki pukaar hai 
Jahaan main hoon wahan tera pyaar hai 
Mera dil hai teri mehfil 
Zara dekh lay aa kar parwane
Teri kon si hai manzil 
Kahin deep jalay kahin dil 

Na main koi sapna hoon na koi raaz hoon 
Ek dard bhari awaaz hoon 
Piya dair na kar aa mil 
Zara dekh lay aa kar parwane
Teri kon si hai manzil 
Kahin deep jalay kahin dil 

Dushman hain hazaron yahaan jaan kay 
Zara milaana nazar pehchaan kay 
Kai roop main hai qaatil 
Zara dekh lay aa kar parwane
Teri kon si hai manzil 
Kahin deep jalay kahin dil


 

Chaand sa mukhra utra hai dil main chaya hai mann main


Chaand sa mukhra utra hai dil main chaya hai mann main 
Door se jalti bhujhanay meri pyaas aya hai meray paas mera pyaar 

Jheel si gheri aankhain us ki hain
Reshmi zulfain ghataein us ki hain 

Laaj main lipta aanchal hai us ka
Kahin lag jaye na nazar
Husan ka paikar asmaan se zameenpar
Aya hai karnay be'qaraar 

Chaand sa mukhra utra hai dil main chaya hai mann main 
Door se jalti bhujhanay meri pyaas aya hai meray paas mera pyaar

Gaalon ki laali , kaano ki woh baali
Cheen lay mujh se mera chain un kay nain

Chaand sa mukhra utra hai dil main chaya hai mann main 
Door se jalti bhujhanay meri pyaas aya hai meray paas mera pyaar

Zindagi pyaar ka geet hai issay her dil ko gaana paray ga


Zindagi pyaar ka geet hai
Issay her dil ko gaana paray ga 
Zindagi gham ka sagar bhi hai 
Hans kay us paar jaana paray ga

Jis ka ho jitna aanchal yahaan par 
Us ko soghaat utni milay gi 
Phool jeewan main gar na khilay to 
Kaanton se bhi nibhaana paray ga 

HAi agar door manzil to kiya 
Raasta bhi hai mushkil to kiya 
Raat taaron bhari na milay to 
Dil ka deepak jalaana paray ga 

Zindagi ik pahaili bhi hai 
Sukh dukh ki sahaili bhi hai 
Zindagi ik wachan bhi to hai 
jissay sab ko nibhaana paray ga 

Rab na karay keh yeh zindagi kabhi kisi ko daga dy


Rab na karay keh yeh zindagi 
Kabhi kisi ko daga dy 

Kisi ko rulaye na dil ki lagi 
Moula sab ko dua dy 

Rab na karay keh yeh zindagi 
Kabhi kisi ko daga dy 

Kisi ko rulaye na dil ki lagi 
Moula sab ko dua dy

Teray pelu main jo raatain guzaari
Shab-e-mehtaab main nazrain utaari

Hum bhi rukay hain usi mor par 
Koi hum ko sada dy 
Hum bhi rukay hain usi mor par 
Koi hum ko sada dy 

Rab na karay keh yeh zindagi 
Kabhi kisi ko daga dy 

Kisi ko rulaye na dil ki lagi 
Moula sab ko dua dy 

Salamat rahay ta kay ahow na laagy
Teray hijar main koi sari raat jaagy

Chain se soye jaan meri 
Sukh waday saba dy 

Rab na karay keh yeh zindagi 
Kabhi kisi ko daga dy 

Kisi ko rulaye na dil ki lagi 
Moula sab ko dua dy 

KAisay chokoun teray ehsaan main
Rakh doon yeh gir bhi dil-o-emaan main 
Her saans meri naam teray 
Rab mujh ko qaza dy 

Rab na karay keh yeh zindagi 
Kabhi kisi ko daga dy 

Kisi ko rulaye na dil ki lagi 
Moula sab ko dua dy
 

Dec 12, 2014

Bhula dain gay tum ko sanam dheeray dheeray


Yeh dard ki aahain juda hui raahain 
Bhula dain gay tum ko sanam dheeray dheeray
Mohabbat kay saray zakham dheeray dheeray 

Abhi naaz hai tootay dil ko wafa pe 
Keh tootain gay saaray bharam dheeray dheeray 
Bhula dain gay tum ko sanam dheeray dheeray  

Dil mera chahye keh seenay se dil main nikaal kay phaink doon 
Be'dard is be'reham ko hawa main uchaal kay phaink doon 
Dhoka diya mujh ko , dhoka diya 
Lamhon se haaray , bujhay nazaray 
Ab to sahain gay yeh gham dheeray dheeray 

Tanha akelay main yaadon kay melay main tum gaye chor kay 
Chahat ki rasmon ko wadon ko qasmon ko tum gaye tor kay 
Ghariyaan sitam gar kat'ti nahin , ulfat kay manzar se hat'ti nahin 
Jahan bhi jaaon , tumhain hi paaon 
Rukain gay hamaray qadam dheeray dheeray 

Bhula dain gay tum ko sanam dheeray dheeray 


Ek ajnabi sa ehsaas dil ko sataiye shayed yeh hi to pyaar hai


Ek ajnabi sa ehsaas dil ko sataiye
Shayed yeh hi  to pyaar hai 

Be'taabiyon main dharkan meri chain paye 
Shayed yeh hi  to pyaar hai 

Kuch bhi kaha na , kuch bhi suna na 
Phir bhi be'chain dil hai hamara 

Behkay qadam hai mushkil main hum hain 
Dekho sambhlay bhala kaisay yaara 

Chahye bina bhi hum nazdeek chalay aye 
Shayed yeh hi  to pyaar hai 

Nazrain bichaa dain pehray  bitha dain dil pe
Yeh dil kisi ki na maanay 

Kaanton pe chal kay sholon pe jal kay rogi
Mil kay rahain gay dewaanay 

Chahat ki lu to aandhi main bhi chil'milaye
Shayed yeh hi  to pyaar hai 

Yeh mulaqaatain yeh teri baatain 
Ek pal na main bhool paaon 

Kitni mohabbat hai kitni chahat hai 
Tum ko kaisay bhala main bataon

Acha lagay jab woh samnay muskuraye 
Shayed yeh hi  to pyaar hai  
 
 

Kabhi kabhi meray dil main khayal aata hai


Kabhi kabhi meray dil main 
Khayal aata hai 
Keh jaisay tujh ko 
Banaya gaya hai meray liye 

To ab se pehlay sitaaron main bas rahi thi kahin 
Tujhay zameen pe bulaya gaya hai meray liye 

Kabhi kabhi meray dil main khayal aata hai 
Keh yeh badan , yeh nigahain meri amanat hain 
Yeh gaiso'on ki ghani chaaon hai meri khatar 
Yeh hont aur yeh baanhain meri amanat hain 

Kabhi kabhi meray dil main khayal aata hai 
Keh jaisay bajti hain sheh'naeyaan  si raahon main 

Sohaag raat hai , ghoonghat utha raha hoon main 
Simat rahi hai , tu sharma kay apni baanhon main 

Kabhi kabhi meray dil main khayal aata hai 
Keh jaisay tu mujhay chahey gi umar bhar youn hi 
Uthay gi meri taraf pyaar ki nazar youn hi 
Main jaanta hoon keh tu ghair hai , magar youn hi 

Kabhi kabhi meray dil main khayal aata hai 
 

Nov 28, 2014

Bheegi hui hai raat magar jal rahay hain hum


Bheegi hui hai raat magar jal rahay hain hum 
Honay lagi barsaat magar jal rahay hain hum 

Seenay main kaisa dard hai honton pe kaisi pyaas hai 
Kaisay batain hum tumhain anjaana ehsaas hai 

Tum ho hamaray saath magar jal rahay hain hum 
Honay lagi barsaat magar jal rahay hain hum 

Bheegi hui hai raat magar jal rahay hain hum 
Baithay to hain jaan-e-ada chahat kay saye talay 

Phir bhi hain kiyon be'chain yeh waqat kiyon na dhalay 
Hai shabnami mulaqaat magar jal rahay hain hum 

Honay lagai barsaat magar jal rahay hain hum 
Bheegi hui hai raat magar jal rahay hain hum
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...