Apr 15, 2014

Jo phisla meray hath se woh pal nahin mila




Jo phisla meray hath se woh pal nahin mila

Mera guzra hua kal mujhay wapis nahin mila

Logon se bhari duniya main dhoonda bhout magar

Farishtay milay bhout mujhay insaan nahin mila

Socha kisi ke dil main ab ghar hi bana loon

Lakin kisi ka dil mujhay sabat nahin mila

Aisa nahin keh mujhay manzil nahin mili

Manzil mili magar kabhi rasta nahin mila

Barson main ne dhoonda lakin mujhay

Is shaher main koi teray jaisa nahin mila


Kuch waqat ki rawani ne hamain youn badal dala 'Mohsin'





Kuch waqat ki rawani ne hamain youn badal dala 'Mohsin'

Wafa par to ab bhi qayam hain magar mohabbat chor de hum ne

Na maang her baat par wazaha'tein ae dil-e-nadaan


Na maang her baat par wazaha'tein ae dil-e-nadaan

Mohabbat main kuch sawalon ke jawaab nahin hotay

Subha ke ujalon main dhoondta hai tabeerain



Subha ke ujalon main dhoondta hai tabeerain

Dil ko kon samjhay 'khwaab' khwaab hotay hain

Ab kiya mashghala hum dil-zada logon ka



Ab kiya mashghala hum dil-zada logon ka

Awargi shamon ki hai ! aur jagna raton ka hai

Kisi ke zarf se barh kar na kar rasm-e-wafa hargiz ae dil



Kisi ke zarf se barh kar na kar rasm-e-wafa hargiz ae dil

Keh is be ja shrafat se Bara nuqsaan hota hai

Jab tari yaad ati hai jee bhar ke mujhay



Jab tari yaad ati hai jee bhar ke mujhay

Tujh se bicharay huye raston pe safar karta hoon

Tum se bhout kuch kehna hai magar


Tum  se  bhout  kuch  kehna  hai   magar

Kabhi tum nahin milaty to kabhi alfaaz nahin miltay

Ik naye duniya basana chah'ta hoon magar

Kabhi neend nahin ati to kabhi khwaab nahin miltay

Apr 13, 2014

Bara dushwaar hota hai Zara sa faisla karna keh



Bara dushwaar hota hai 
Zara sa faisla karna keh
Jeevan ki kahan ko 
Bayan-e-be'zubani ko
Kahan se yaad rakhna hai
Kahan se bhool jana hai
Kissay kitna batana hai
Kis se kitna chupana hai
 Kahan ro ro ke hansana hai
kahan hans hans ke rona hai
Kahan awaz deni hai 
Kahan khamosh rehna hai
Kahan rasta badalna hai
Kahan se loat ana hai
Bara dushwaar hota hai
Zara sa faisala karna

Door tujh se guzri her ghari likh raha hoon



Door tujh se guzri her ghari likh raha hoon

Jo beeta hai mujh pe woh sab likh raha hoon

Tu ne ghamon main uljhaya bhout 

Main naam tera apni her kushi main likh raha hoon

Yeh umar bhar ka bandhan hai do chaar din ka nahin

Dil main jitni hai chahat woh sabhi likh raha hoon

Kar meri baat ka yaqeen agar karti ho

Main taray liye jo kuch hoon abhi likh raha hoon

 Nahin kami kisi lafaz ki is main

MAin faqat apni ghazal main tari kami likh raha hoon

Shayad  tujhay mera acha na lagay naam

Main teray liye khud ko ajnabi likh raha hoon

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...