May 31, 2014

Aaj phir hathaili par main hina se likhon gi



Ba'wafa Mard 

Aaj phir hathaili par 
Main hina se likhon gi 
Phir wohi purani baat 
Mard kuch bhi ho lakin
Ba'wafa nahin hota

May 30, 2014

Ilhaam ki rim jhim kahin bakshish ke ghata hai



Ilhaam ki rim jhim kahin bakshish ke ghata hai
 ye dik ka nagar hai k madinay ki fiza hai

rag rag ne sameti hai tere naam ki faryad
 jab jab bhe pareshan mujhay duniya ne kiya hai

suraj ko ubharnay nhin deta tera habshi
 be zar ko abu-zar teri bakshish ne kiya hai

saqlain ke qismat teri dehleez ka sadqa
 Aalam ka muqadar tere hathon me likha hai

Ay gumbad-e-khizra k makeen meri madad kar
ye phir yeh bata kon mera tere siwa hai

bakshish teri ankhon ki taraf dekh rahi hai
'Imran' tere darbar main chup chap khara hai

Mohabbat main dil hi nahin


Mohabbat main 

Suno ! 
Mohabbat main dil hi nahin 
Rooh ko bhi khiraaj ada karna parta hai 
Aik doosray ko paa kar bhi na pana 
Mohabbat ka khiraaj hi to nahin 
Jo !
Main aur to ada kar rahay hain !
Kiyon keh zahid !
Hum dono 
Ik doosray se mohabbar kar rahay hain

Jab yeh keh diya tum ne



Jab yeh keh diya 

Jab yeh keh diya tum ne 
Na hum se koi raabta rakhna 
To phir yeh kaisay mumkin tha ? 
Keh hamari dharkano ka 
Khud apnay dil se koi raabta rehta

Zindagi jeeney kay liye


Zindagi jeenay kay liye 

Zindagi jeenay kay liye 
Armaan zaroori hai 
Her khushi panay kay liye 
Imtihaan zaroori hai 
Dil main chahye hazaron gham ho
PAr zahid chehray par ik muskan zaroori hai 

Aaina jhoot bolata hai


Aaina jhoot bolata hai 

aaina jhoot bolta hai 
her shaks ke chaheray per
na janay kitnay chaheray hotay hain
kahan yeh kisi ka sacha roop biyaan 
kar sakta hai
kisi ki fitrat
kahan zahir hoti hai
yeh kahan dilon ke bhaid kholta hai
aaina jhoot bilta hai

Aik sar zameen-e-ishaq hai


Aik sar'zameen-e-ishq hai 
Hungama-e-aalam se door , Aafat ki hasti se door 
Is magar ki duniya se door, is zulam ki basti se door
Is raat , is din se alag , is aoj
is basti se door
Do raaz zameen-o-aasman 
Aik sar'zameen-e-ishq hai 
IS kay gulistaan par fiza , is baharein dil nasheen
IS ki zamee'nain khush'numa 
Is ki fizaein mar'marein 
Is kay nizaray dil kusha 
Is ki hawaein ambreen
Misal-e-behshat gul fisaan 
Aik sar zameen-e-ishq hai 

in do aankhon main bhout door kahin


In do aankhon main bhout door kahin 
Guzray huye zamano ki khamoshi pehnay 
Aik mehboob khushi rehti hai 
Saaf shifaaf fizaon main 
Nigahon ki hadon se aagay 
Khawab awar prindon ki tarah 
Phir meray dil ki taraf aatay hain 
Zahid in do aankhon se koi jaa kay kahay 
Koi dariya koi chashma koi jhonka le kar

Agar ho sakay to kisi din meray ghar ayo


Agar ho sakay to kisi din meray ghar ayo

Kisi din meray ghar aayo 
Meray kamray main baitho 
Aur her shai ko dekho 
Book shelf main pari hui 
Kitabein aur dairiyaan 
Maze pe rakhi hui tasveerain 
Aur gul'daan main rakhay huye phool 
Tumhein bataein gay 
Daraaz main mojood cassetein 
Dewaron pe lagay card 
Tum par ayaan karein gay 
Keh kaisay meray armaano se teray khawab dekhay thay 
Agar ho sakay to kisi din meray ghar aayo
Dewaron pe khuday huye haroof 
Aur bistar par naqsh be'qaraari tum par ayaan karein gi 
Keh meri aarzo'on ne kis tarah tumhari aarzoo ki hai 
Aur kaisay meray khawabon ne tumharay khawaab dekhay hain 
Agar ho sakay to kisi din meray ghar aayo

JAb door kahin par'bat se paray


Dil sochta hai 

JAb door kahin par'bat se paray 
Magh'moom fiza main deep jalay 
Dil sochta hai .....
Jab raakh ho behti yaadon ki 
Aur raat ka daman bheeg chalay 
Dil sochta hai ....
Jab majboori se majboori ho 
Koi bhi aas na poori ho 
Aur
Had-e-nazar tak doori ho 
Phir rafta rafta shaam dhalay 
Dil sochta hai ....
JAb kuch bhi apnay bas main nahin 
Yeh pagal mann kiyon sochta hai 
Kya khojta hai 
IS baat ko bhi dil sochta hai 
Dil sochta hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...