Jun 29, 2014

Dil pak Nahi To Pak Ho Sakta Nahi Insan




Dil pak Nahi To Pak Ho Sakta Nahi Insan

Warna Iblees Ko Bhi Aate The Wuzoo K Fara,iz Baht

Sir Jhukane Se Namazein Adda Nahi Hotin

DIL Jhukana Parta Hay Ibadt K Liye

Iqbal Ne Iss Liye Tor Di Tasbih

Kaya Gin k Naam Loon Us Khuda ka

Jo Be Hisab Deta Hay

Koi mujh ko mera bhar'poor sarapa la de


Koi mujh ko mera bhar'poor sarapa la de 
Mere baazo meri aankhain mera chahera la de

Aisa dariya jo kisi aur samandar main gire 
Is se bhtar hai keh mujh ko mera sehra la de 

Kuch nahin chayea tujh se meri Ae umar-e-rawaan 
Mera bachpan mere jugnoo meri guriya la de 

Jis ki aankhain mujhe andar se bhi parh sakti hoon 
Koi chahera to mere shaher main aisa la de 

Kishti-e-jaan to bhanwar main hai kai barsoon se 
Aye khuda ab to baboo de ya kinara la de

Tez jhonka na seh saka patta


Tez jhonka na seh saka patta
Shaakh se toot kar gira patta 

Zard roo se murra turra patta 
Ayi aandhi hua hawa patta 

MAin bhi tha zaib-e-gul hara patta 
Zar-e-paa hai yeh keh raha patta

De sila rabt pairr se rakhna 
Fasl-e-gul ka yeh gham'zada patta 

Be'saharon ki zindagi jaisay 
Pairr ky saaye main para patta

Hum bhi ra'ana thay youn kabhi 
Jaisay gul'zaar ka hara patta

Suraj sar pe aa poncha hai


Suraj sar pe aa poncha hai 
Saye bhi chupty jate hain 

Aisi hi muskaan tumhari 
Guncha jaisay khil jata hai 

Zakham laga ky woh kehti hain 
Bol re sajan tu kaisa hai 

Baatein kar amrooze ki piyaare
Chor de us ko jo farda hai 

Is duniya main ulfat dhoondy 
Kuch kuch deewana lagta hai 

 

Tum agar mujh ko na chaho to koi baat nahin


Tum agar mujh ko na chaho to koi baat nahin 
tum kisi aur ko chaho gi to mushkil ho gi 

Ab agar mail nahin hai to judai bhi nahin hai 
Baat tori bhi nahin tum ne banai bhi nahin 

Yeh sehra bhi bhout hai mere jeenay ky liye 
Tum agar meri nahin ho to parai bhi nahin 

Mere dil ko na sraho to koi baat nahin 
Ghair ky dil ko sraho gi to mushkil ho gi 

Tum haseen ho , tumhain sab pyaar kartay hon ge
Main jo marta hoon to kiya aur bhi martay hon gy 

Sab ki aankhon main isi shouq ka toofaan ho ga 
Sab ky seenay main yahi dard ubharty hon gy 

Mere gham main na kraahoto koi baat nahin 
Aur ky gham main kraaho gi to mushkil ho gi

Kisi ki aankh jo pur'nam nahin hai


Kisi ki aankh jo pur'nam nahin hai 
Na samjho yeh keh us ko gham nahin hai 

Sawaad-e-dard main tanha khara hoon 
Palat jaon magar mousam nahin hai 

Samjh main kuch nahin ata kisi ki 
Agarcha guftagoo mabham nahin hai 

Sulagta kiyon nahin tareek jungle 
Talab ko boo agar madham nahin hai 

Yeh basti hai sitam par'war'digaan ki 
Yahan koi kisi se kam nahin hai 

Kina dosraye dariya ka jaisay 
Woh sathi hai magar mehram nahin hai 

Dilon ki roshni bhujhney na dena 
Wajood tairagi mehkam nahin hai 

Main tujh ko chah kar pachta raha hoon 
Koi is gham ka marham nahin hai 

Jo koi sun sake amjad to duniya 
Ba'juz ik baaz'gashat-e-gham nahin hai

Yaad main teri jahan ko bhoolta jata hoon


Yaad main teri jahan ko bhoolta jata hoon 
Bhoolney wale kabhi tujh ko bhi yaad ata hoon main 

Ik dhundla sa tasawar hai keh dil bhi tha yahan 
Ab to seenay main faqat ik tees si paata hoon main 

O wafa-e-na'ashna kab tak suno tera gila
Be'wafa kehtay hain tujh ko aur sharmata hoon main 

Aarzoo'on ka shabaab aur marg-e-hasrat haye haye 
Jab bahaar aye gulistaan main to mur'jhata hoon main 

Hashar meri shair goi hai faqat fariyaad-e-shouq
Apna gham dil ki zubaan main , dil ko samjhata hoon main

Honton pe kabhi un ky mera naam hi aye


Honton pe kabhi un ky mera naam hi aye 
Aye to sahi bar sar-e-ilzaam hi aye 

Hairaan hain , lab basta hain , dil'geer hain gunchay
Kushboo ki zubaani tera paighaam hi aye 

Lamhaat musarat hain tasawar se guraizaan 
Yaad aye hain jab bhi gham-o-aalaam hi aye 

Taron se saja lein gy raah-e-shaher-e-tamana 
Madoor nahin subho chalo shaam hi aye 

Kiya raah badalney ka gila hum safron se 
Jis raah se chalay teray dar-o-baam hi aye 

Thak haar ky baithay hain sar-e-koo-e-tamana 
Kaam aye to phir jazba-e-nakaam hi aye

Baaqi na rahay saakh ada dasht-e-junoon ki 
Dil main agar andesha-e-anjaam hi aye  

Agar mohabbat meri sachi hai to ik din zaroor mila de gi


Agar mohabbat meri sachi hai to ik din zaroor mila de gi 
Agar zid meri paki hai to aye khuda asmaan ko bhi hila de gi 

Na inkaar kar sakta haikoi meri wafa se , mujhe yaqeen hai 
Par tum sambhalna ek din meri wafa tujhe be'wafi ka sila de gi 

Yeh baat sach hai tum ne hum se pyaar kiya aur doosray pal hi bhula dia
Mera pyaar itna asaan na tha na socha tha keh tero mohabbat daga de gi

Na bhula sakoon gi woh mohabbat na woh be'wafai jo tu ne ki 
Saza is se barh kar kiya de gi keh umar bhar meri mohabbat tujhe dua de gi 

Agar dam hai meri wafa-e-mohabbat main to woh ik din aye ga zaroor 
Jab meri yaad main tu tarpaye ga par tab tujhe apni mohabbat na de gi

Woh hai manind-e-sang to main sang traash ban jaon


Woh hai manind-e-sang to main sang traash ban jaon 
Chaahon ussay itna keh pathar bhi devta ban jaye 

Ho aisi khalish meri chahat main key ussay her bandhan se azaad karoon 
Woh loat aye her baar magar aur mera ban jaye 

Ho shiddat aisi keh Mujhe hi kiya mere aks ko bhi tera khyaal ho 
MAin jo aaina dekhon kabhi mujhe khud par bhi tera gumaan ho jaye 

Mera ishq ho ishq ki us manzal par keh khud ishq tarap uthaye
Main tujhe nazar bhar ky dekhon hi keh meri aankh bhar aye
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...