Oct 28, 2014

Soz-e-dil bhi nahin sakoon bhi nahin


Soz-e-dil bhi nahin sakoon bhi nahin 
Zindagi wabaal youn bhi hai 

Teri khwaish aur is qadar khwaish 
Wajah-e-haasil sahi junoon bhi hai 

Khush bhi hai iltafaat-e-dost se dil 
Ghairat-e-ishq sar nagoon bhi hai 

Jal kay bujh bhi gayi "Zia" aksar 
Aag seenay main joon ki toon bhi hai 

Dil ka kiya hai woh to chahaye ga musalsal milna


Dil ka kiya hai woh to chahaye ga musalsal milna 
Woh sitam'gar bhi magar sochay kisi pal milna 

Wahaan nahin waqat to hum bhi hain adeem-e-fursat 
Us se kiya kehaiyea jo roz kahay kal milna 

Ishq ki raah kay musaafir ka muqadar maloom 
Dasht-e-umeed main andeshay ka baadal milna 

Daaman-e-shab ko agar chaak bhi kar lain to kahaan 
Noor main dooba hua subha ka aanchal milna 

Dasht-e-shab par dikhaei kiya dain gi


Dasht-e-shab par dikhaei kiya dain gi 
Silwatain roshni main ubhrain gi 

Ghar ki dewaarain meray jaanay par 
Apni tanhaiyon ko sochain gi 

Ungliyon ko taraash doon phir bhi 
Aadatain us ka naam likhain gi 

Rang-o-boo se kahin panaah nahin 
Khwaishain bhi kahaan amaan dain gi 

Ek khushboo se bach bhi jaaon agar 
Doosri nikhatain jakar lain gi 

Khirkiyon pe da'beez parday hon 
Baarashain phir bhi dastakain dain gi 

Ab mujhay hai ussay bhulaa dena


Ab mujhay hai ussay bhulaa dena 
Ae khuda tu hi hosla dena 

Main nahin zindagi sawaali thi 
Meri ghairat ko yeh bata dena 

Sakhat jaani to hijar seh lay gi 
Tum mujhay doosri saza dena 

Aandhiyaan pehlay thamna ya'rab 
Tab meray haath main diya dena 

Jab mujhay tum pukaarna chaho 
Roshni , roshni , sadaa dena 

Ek jabar hai ab ehsaas-e-wafa bhi yeh dil main basaana theek nahin



Ek jabar hai ab ehsaas-e-wafa bhi yeh dil main basaana theek nahin 
Ab saaz-e-dil afsurda par , es geet ko gaana theek nahin 

Tum bhool chukay yeh sab behtar , tum chor chalay yeh aur acha 
Khwaabon main magar majbooriyon ka yeh aana jaana theek nahin 

Keh do keh nahin hum mil saktay , keh do keh koi majboori hai 
Lakin yeh labon tak la la kar baaton ko chupaana theek nahin 

Ae shouq-e-janoon ab baaz bhi aa , kuch maan bhi lay tu mera kaha 
Jo jaan kay bhi anjaan banay , gham us ko sunaana theek nahin 

Ab chor bhi do dewaana pan , ab bhool bhi jaao maazi ko 
Ae shams yeh pal pal khilwat main ashkon ka bahaana theek nahin 

Jo mil na saki mujh ko jageer naachti hai


Jo mil na saki mujh ko jageer naachti hai 
Aankhon main ab bhi teri tasveer naachti hai 

Apna bana kay tujh ko ghar to basa loon lakin 
Sar pe musaafarat ki shamsheer naachti hai 

Bach kar nikalna chahon lakin nikal na paaon 
Yaadon ki teri her soo tanveer naachti hai 

Hum sookhata dilon ka kiya haal poochtay ho 
Her roz sar pe koi tazeer naachti hai 

Paish-e-nazar hamaray khwaabon ki kirchiyaan hain 
Aur aainay ki surat tabeer naachti hai 

Kiya ho gaya hai tum ko kuch to bataao "Babar"
Maathay pe kiyon shikan ki zanjeer naachti hai  

Main idhar hoon yeh dil udhar kiyon hai


Main idhar hoon yeh dil udhar kiyon hai 
Aashnaayi ka yeh safar kiyon hai 

Mout ko un kay baad aana tha 
Haadsa phir yeh paish'tar kiyon hai 

Mujh ko mujrim to kar diya saabit 
Us kay chehray pe itna dar kiyon hai 

Mujh ko jalaana hai raat bhar lakin 
Aandhiyon ki idhar nazar kiyon hai 

Ghar se nikla tha manzilon kay liye 
Meri manzil mera hi ghar kiyon hai 

Zindagi phool chun rahi thi jo 
Aaj kaanton ki saij par kiyon hai 

Jis kay gham main hain matwaalay "gulshan"
Woh meray gham se be'khabar kiyon hai 

Honton pe hansi dekh li , dil kay andar nahin dekha


Honton pe hansi dekh li , dil kay andar nahin dekha 
Yaaron ne meray gham ka samnadar nahin dekha 

Kitni haseen hai duniya yeh dekha hai aap ne 
Mar mar kay jeenay walon ka manzar nahin dekha 

Sheeshay ka makaan tum ne bana too liya ae dost 
Lakin waqat kay haath ka pathar nahin dekha 

Rishton kay tootay ka dard aap kiya samjhain 
Woh lamha kabhi aap ne jee kar nahin dekha 

Bhatkay roshni ki talaash main na janay kahaan kahaan 
Afsoos kay apni rooh kay andar nahin dekha 

Dekhi hai us ki aankhon main nami 
Youn lagta hai jaisay samandar udaas dekha 

Garmi-e-shouq-e-nazaraa ka aasra to dekho


Garmi-e-shouq-e-nazaraa ka aasra to dekho 
Gul khil jaatay hain woh saya-e-dar to dekho 

Aisay nadaan to na thay jaan se guzarnay wale 
Naasiho , rehbar-o-rahguzar to dekho 

Woh to woh hain tumhain ho jaye gi ulfat mujh se 
Ek nazar tum mera mehboob-e-nazar to dekho

Woh jo ab chaak garebaan bhi nahin kartay hain 
Dekhnay walo kabhi un ka jigar to dekho 

Daaman-e-dard ko gulzaar bana rakha hai 
Aao ik din dil-e-purkhoon ka hunar to dekho 

Subha ki tarah jhamkaata hai shab-e-gham ka ufaq 
"Faiz" tabindagi-e-deeda-e-tar to dekho 

Abhi kuch nahin badla


Abhi kuch nahin badla 
Abhi raston ne dekha hi nahin badla huwa mousam 
Keh fasal-e-gul ussi tarah se hai shadaab-o-taza'tar 
Naye pattay toot kay girtay hain shaakhon se 
Na phoolon kay lab-e-la'lain main zardee hai 
Abhi bhi rag-e-sehraa ki fiza-e-subha main thandak hai 
Magar khoon kay alawo main tamaazat mojzan hai 

Sab hi ird gird baithay 
Zindagi ki garm saansain lay rahay hain 
Abhi aankhon kay jungle main 
Shana'saai kay jugnoo jhil'milaatay hain 
Abhi paani ne apna zaaiqa badla nahin hai 
Abhi kuch laaj baaqi hai 
Abhi bhi neechi nazron main 
Haya parwaan charti hai 
RAgon main surkh lawa beh raha hai 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...