Apr 26, 2015

Maron to main kisi chehray main rang bhar jaaon


Maron to main kisi chehray main rang bhar jaaon 
Kaash main yahi ik kaam kar jaaon 

Yeh dasht-e-tark-e-mohabbat yeh teray qurb ki pyaas
Jo izzan ho to teri yaad se guzar jaaon 

Mera wajood meri rooh ko pukaarta hai 
Teri taraf bhi chalon to tehar tehar jaaon 

Teray jamaal ka paraao hai sab haseeno par 
Kahan kahan tujhay dhoondon kidher kidher jaaon 

Main zinda tha keh tera intizaar khatam na ho 
Jo tu mila hai to ab sochta hoon mar jaaon 

YEh sochta hoon keh main butt'parast kiyon nahin hua 
Tujhay qareeb jo paaon to khud se dar jaaon 

Kisi chaman main bas ik khouf se guzar na hua 
Kisi kali pe na bhoolay se paaon dhar jaaon 

Yeh jee main aati hai takhleeq-e-fun kay lamhon main 
Keh khoon ban kay rag-e-sang main utar jaaon 

Iss zindagi ka kya bharosa jo 2 pal ki hai


Iss zindagi ka kya bharosa jo 2 pal ki hai 

Hum bhi un lamhon ki tarah guzar jayein gay jo loat kay nahin aatay

Tum do farib mujhay aur main samjhon hunnar ussay


Tum do farib mujhay aur main samjhon hunnar ussay 

Ab itna bhi sadgi ka zamana nahin raha 

Kab do gay nijaat hamein raat bhar ki tanhai se


Kab do gay nijaat hamein raat bhar ki tanhai se

Ae ishq maaf kar meri umar hi kya hai

Log shor se jaag jatay hain


Log shor se jaag jatay hain 

Aur mujhay us ki khamoshi sonay nahin deti

Ek umar talak ashk fishaani main raha hai


Ek umar talak ashk fishaani main raha hai 
Ae ishq ! tera dard rawani main raha hai 

Yeh chor meray saath kabhi tha keh nahin tha 
Woh shakhs magar meri kahani main raha hai

Ek hijar teray baad rag-e-jaan main utar kar 
Taa umar phir alfaaz-o-ma'aani main raha hai 

Sehraa se teray dil ki guzar gaah talak dil
Her roz teri naqal makaani main raha hai 

Woh saath nahin meray magar sach hai hamesha 
Woh shakhs meri aankh kay paani main raha hai 

Dabi dabi si woh muskurahat labon pe apnay saja saja kay




Dabi dabi si woh muskurahat 
Labon pe apnay saja saja kay 

Woh narm lehjay main baat karna 
Adab se nazrain jhuka jhuka kay 

Woh aankhein teri sharaarti si 
Woh zulf maathay pe naachti si 

Nazar hatay na ik pal bhi 
Main thak gaya hoon hata hata kay 

Woh tera haathon ki ungliyon main 
Mila kay zulfon main kho sa jana 

Haya kay chehray pe phir sajana 
Phool chehra khila khila kay 

Woh haath hooron kay ghar hon jaisay 
Woh paaon pariyon kay par hon jaisay 

Nahin hai teri misaal jana 
Main thak gaya hoon bata bata kay 
 

Apr 24, 2015

Bhool kar mujh ko woh jeenay ki wajah poochta hai


Bhool kar mujh ko woh jeenay ki wajah poochta hai 
Kaisay zinda hoon main ab tak yeh ada poochta hai

Roz meri rooh ko woh de jaata hai zakham naye 
Shouq us ka hai magar mujh se saza poochta hai 

Meray haathon ki lakeeron main jab basa hai woh 
Phir kiyon woh apni de kay qasam meri raza poochta hai 

Us ko yeh khouf keh kahin main ussay paa na loon 
Main jab bhi uthaon haathon ko woh meri dua poochta hai

Main shagufta lab-e-izhaar kahan se laaon


Main shagufta lab-e-izhaar kahan se laaon 
Ishq-o-romaan kay azkaar kahan se laaon

Qissa-e-talkhi-e-doran main suna sakta hoon 
Dastaan-e-lab-o-rukhsaar kahan se laaon 

Apnay ehsaas se main jhoot kahan tak bolon 
Shair main shokhi-e-afkaar kahan se laaon 

Main ghazal-go hoon , qaseeda to nahin keh sakta 
Kya karoon lehja-e-darbaar kahan se laaon 

Saut-o-alfaaz ki zarbat pe bharosa hai mujhay 
Main tahi dast hoon talwaar kahan se laaon 

Main to bik sakta hoon sirf aik tabasam kay iwaz 
Lakin ab aisay kharidaar kahan se laaon 

Gham zada log to mil saktay hain jitnay bhi chaho Mohsin 
Magar aaj kay dour main gham khawaar kahan se laaon

Hum ne jo deep jalaye hain teri galiyon main


Hum ne jo deep jalaye hain teri galiyon main 
Apnay kuch khawaab sajaye hain teri galiyon main 

Janay yeh ishq hai ya karamat apni 
Chand lay kar chalay aaye hain teri galiyon main 

Tazkara ho teri galiyon ka to dar jaata hoon 
Dil ne woh zakham uthaye hain teri galiyon main 

IS liye bhi hamein teri galiyon se nafrat hai 
Hum ne armaan ganwaye hain teri galiyon main 

Kiyon her cheez adhoori si hamein lagti hai 
Janay kya chor aaye hain teri galiyon main
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...