May 3, 2015

Jab kisi jaam ko honton se lgaya mein ne



Jab kisi jaam ko honton se lgaya mein ne
Raqs krta howa dekha tera saya mein ne
Mujh se math pooch mere mohtasib-e-shehr se pooch
Kiyon teri aankh pe paimaana banaya mein ne 
Loog kehte hein qaseeda wo tere husn ka tha
Aam saa geet jo mehfil mein sunaya mein ne
Maikada bund tha laikin joon hee grja baadal
Apni tauba ko chatkh'ta howa paya mein ne
Shair-o-naghmaat ka rishta kbhi tota na qateel
Jab ghzal ban k wo aaya usay gaaya mein ne

Ye zara zara si bat pe tarha tarha k azaab kyn


Ye zara zara si bat pe tarha tarha k azaab kyn

Jo kise sy kbi khafa na ho mujy us shakhs ke talash hai

Mujy lrzeshon pe hr ghari koi tokta hai bar bar

Jisy kar kay dil ko dukh na ho mujy us gunah ke talash hai

Bina tery main kab talak musafaton main laga rahon

Jahan koi kise se juda na ho mujy us rah ke talash hai

Haath thaam ker b tera sahara na mila


Haath thaam ker b tera sahara na mila

Me wo leher hun jise kinara na mila

Mil gya mjhy jo kuch b chaha main ne

Mila nai to sirf sath tumhara na mila

Wese to sitaron se bhara hua hai aasman

Jo hum dhond rahe thy wo sitara na mila

Kuch is tarha se badli phir zindagi hamari

Phir jise b pukara wo dobara na mila

Ehsas to hoa usy mgar deir ho gai

Us ne dhonda mgr nishan humara na mila

Wo so raha hai to usay sonay do iqbal


Wo so raha hai to usay sonay do iqbal

Ho sakta hai gulami ki neend me wo khuwab azaadi k dekh raha ho.

Mujhay iss se koi gharz nahi teray rubaru koi aur hai


Mujhay iss se koi gharz nahi teray rubaru koi aur hai
Meri khuwahishon k jahan main meri aarzu koi aur hai

Mujhay kal b teri talash thi mujhay ab b teri talash hai
Na wo justju koi aur thi na yeh justju koi aur hai

Main hadood-e-jism jo torr kar nikal gaya to pata chala
Jahan main hi main tha meri tarha wahan hubahu koi aur hai

Tujhay kaisay khud se juda karun tu juda nahi meri zaat se
Yeh btaa main koi aur hun ya btaa k tu koi aur hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...