Jul 31, 2015

Tumhari aankhon main laal dhaagay



Tumhari aankhon main laal dhaagay 

Raat kis kay naseeb jagay

Chahat itni muktasir jana


Chahat itni mukhtasir jana 

To phir yaadein be'shumaar kiyon

Suno tanhaiyan rooh ko badan se noch leti hain


Suno tanhaiyan rooh ko badan se noch leti hain 

Kisi ki be'wafai ki saza khud ko nahin detay

Is qadar thi musal'sal shiddatein judai ki


Is qadar thi musal'sal shiddatein judai ki 
Aaj pehli baar us se main ne be'wafai ki 

Phir qafs main shor utha qadiyon ka aur siyaad 
Dekhna urra de ga phir khabar rihaai ki 

Taras jaao gay hamaray labon se sunna'nay ko aik aik lafz


Taras jaao gay hamaray labon se sunna'nay ko aik aik lafz

Pyar ki baat to kya hum shikayat bhi na karein gay

Kaaf, seen , meem kha kar kehta hoon


Kaaf, seen , meem kha kar kehta hoon 

Ain , sheen , kaaf, main ruswai hai

Woh khawaab dekhye to dekhye meray hawalay se


Woh khawaab dekhye to dekhye meray hawalay se

Meray khayal kay sab manzaron ka saathi ho

Dil diyan galan kar di si


Dil diyan galan kar di si 
Hasdi si kadi rondi si 
Bhooriyan akhan , lamiyan zulfan 
Chan ton wi sharmandi si 
O wangan bhar bhar pandi si 
Chhan chhan jhanjar chankandi si 
Sara din rahwan takda san 
Milan o shami aandi si 
Sahwan thandian Ondian si
Seenay jad lag jaandi si 
Ik din meray ton rus gayi
Jaan jay menu bulaandi si

Aik se musafir hain


Chand 

Aik se musafir hain 
Aik sa muqaddar hai 
Main zameen par tanha 
Aur woh Aasmano main

Qadar-e-johar hai jo pindaar samait


Qadar-e-johar hai jo pindaar samait 
Mujh ko parkho meray miyaar samait

Roz mangein yeh dua khana badosh 
Ghar na ujrein dar-o-dewaar samait 

Kitni banjar hui fasal-e-awaz
Shaher chup chaap hai bazaar samait 

Kaash logon ki tarah soo-e-chaman 
Hum bhi kabhi jayein dildaar samait 

Kon karta qad-o-qamat ka hisaab 
Ik qayamat tha woh raftaar samait 

Jin ki haibat se harasan lashkar 
Be'nishan ab hain woh talwaar samait 

Bujh jayein kahin aankhein meri 
Yaad aa , mishal-e-rukhsaar samait 

Khaak urti hui sadiyon se idher
Qaaflay gum huye salaar samait 

HAwas-e-dirham-o-dinaar ki khair
Log biknay lagay kirdaar samait 

Main keh mohsin hoon shaheed-e-na'moos
Dafan karna mujhay dastaar samait 
 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...