Oct 23, 2015

Ay muhabat tere anjam pe rona aya




Ay muhabat tere anjam pe rona aya
Jane q aj tery naam pe rona aya

Youn to her shaam umedon men guzer jati thi
Aj kch baat thi jo shaam pe rona aya

Kabi taqder ka matam kabi dunya ka gila
Manzil-e-ishq men her kaam pe rona aya

Jab howa ziker zamanay men muhabat ka
Muje apne dil_e_ nadan pe rona aya.?

Seene sey lgaty thy jo mjhe haar bana kar



Seene sey lgaty thy jo mjhe haar bana kar

Chor gaye mjhko wo gunahgar bana kar

Hasb-e-taufeeq sab ne lota hy mjhko

Apno ne b lota to mjhe yaar bana kar

Log kehte thy k pyar me sirf ruswai hy

Aakhir wo b chor gaya apna talabgaar bana kar

Ab to har taraf se log hamen loot rahe hain

Koi dost, koi yar, to koi pyar, bana kar...

Saray dard mujhy he sonp diye



Saray dard mujhy he sonp diye

Kya itna aitbaar tha mujh par...!!

Wohi darpaish hai phir zindagi khwabon khyalon ki



Wohi darpaish hai phir zindagi khwabon khyalon ki
Kahan hai ab tumhari wo muhabbat itne saalon ki?

Agar mere muqaddar mein andhera hi andhera tha
Kahani q sunai thi mujhe tum ne ujalon ki

Barra hai farq dono mein,mgr dilchasp hain dono
Teri duniya jawabon ki,meri duniya swalon ki

Tumhein jab se main likhta hon, tumhain jab se main parhta hon
Zarorat hi nahi parti kitabon ki hawalon ki

Ta'alluq jorna or torna tum se koi seekhy
Kahan se aa gai tum ko maharat aisi chaalon ki

Sanam apne dil ko rakha hai faqat iss wasty zinda
Zarorat phir na parr jaye tumhen meri misaalon ki

Yahan pal pal jalna parta hai



Yahan pal pal jalna parta hai
Har rang me dhalna parta hai

Har morr pe thokar lagti hai
Har haal me chalna parrta hai

Har dil ko samajhny ki khatir
Bas khud se larna parta hai

Kabhi khud ko khona parta hai
Kabhi chup k rona parta hai

Kabhi neend na aaye phoolon pe
Kabhi kanton pe sona parta hai

Kabhi mar k jeena parta hai
Kabhi jee k marna parta hai

Kabhi to khushiyan laut k aayen gi
Is aas pe jeena parta hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...