Apr 28, 2016

Koi pathar koi gehar kiyon hai


Koi pathar koi gehar kiyon hai 
Farq logon main is qadar kiyon hai 

Tu mila hai to yeh khayal aaya 
Zindagi itni mukhtasir kiyon hai 

Jab tujhay loat kar nahin aana 
Muntazir meri chasham-e-tar kiyon hai 

Us ki aankhein kahin sadaf to nahin 
Us ka her ashk hi gehar kiyon hai 

Raat pehlay hi kiyon nahin dhalti 
Tairagi  shab ki ta'sehar kiyon hai 

Yeh bhi kaisa azab de dala 
Hai mohabbat to is qadar kiyon hai 

Tu nahin hai to roz-o-shab kaisay 
Shaam kiyon aa gayi sehar kiyon hai 

Kiyon rawana hai her gharri duniya 
Zindagi mustaqil safar kiyon hai 

Main to ik mustaqil musafir hoon 
Tu bhala mera humsafar kiyon hai

Tujhay milna nahin kisi se Adeem 
Phir bicharnay ka tujh ko dar kiyon hai
 

Khaak pe jab bikhar gaye aansu


Khaak pe jab bikhar gaye aansu 
Yeh laga jaisay mar gaye aansu 

Aaj palkon ki baar phaand gaye 
Aaj had se guzar gaye aansu 

Aasman bhar gaya sitaron se 
Gham ki jholi main bhar gaye aansu 

Dil ki ghathri main baandh rakhay thay 
Janay kaisay bikhar gaye aansu 

Apnay gham ki kasaftein thein bhout 
Us kay gham se nikhar gaye aansu 

Aaj to gham bhout ziyada hai 
Aaj janay kidher gaye aansu 

Zabt se ehad baandh rakha tha 
Aur phir bhi bikhar gaye aansu 

Sil-e-dariya to kuch nahin tha Adeem 
Apnay toofan se dar gaye aansu 

Dil karra to bhout kiya tha Adeem
Waqat-e-rukhsat bikhar gaye aansu 


Issay pana tha us ko khona tha


Issay pana tha us ko khona tha 
Yeh bhi hona tha woh bhi hona tha 

Kitni dair aur us ko rona tha 
Woh jo hona tha , woh to hona tha 

Shayed is wastay mili aankhein 
Bojh kuch aansu'on ka dhona tha 

Shab-e-mehtaab Aaftab-e-sham 
Aik chandi thi aik sona tha 

Kya ghazab kar liya hai aankhon ne 
Mujhay to tujh se chupp kay rona tha  

Hum ne moti samjh liye Adeem 
Warna daman kissay bighona tha

Raaz-e-dil aam kar gaye aansu


Raaz-e-dil aam kar gaye aansu 
Gham ko bad'naam kar gaye aansu 

Aaj us ne bhi haal pooch liya 
Aaj to kaam kar gaye aansu 

Log phoolon kay saath ponchay thay 
Aur hum thaam kar gaye aansu 

Hum kisi kay na thay magar hum ko 
Aap kay naam kar gaye aansu 

Her kisi aankh ne lagaye daam
Gham ko neelam kar gaye aansu 

Dhund si chaa gayi hai aankhon main 
Her taraf shaam kar gaye aansu 

Baat main bhi bhout asar tha Adeem 
Aur kuch kaam kar gaye aansu 

Shairy sirf shairy thi Adeem 
Us ko ilhaam kar gaye aansu

Apr 27, 2016

Kar kay wafa palat kay wafa maangnay laga


Kar kay wafa palat kay wafa maangnay laga
Kya zarf tha gharri main sila maangnay laga

Yeh qehat-e-husan tha nihayat thi husan ki
Her shakhs us haseen ka pata maangnay laga

Us ki hatheliyon pe khilay phool dekh kar
Her meh'jabeen ka haath hina maangnay laga

Jab se ussay aziz hui  meri zindagi
Main apni zindagi ki dua maangnay laga

Seenay se aah , aankh se aansu talab kiye
Gham ka shajar bhi Aab-o-hawa maangnay laga

Humdardiyan woh baad saza us ne kein Adeem
Jo be'khata tha woh bhi saza maangnay laga

Halaat is qadar thay digar'goon zameen kay
Aa kar zameen pe bheek na'khuda maangnay laga 

Jab biyan karo gay tum hum biyan main niklein gay


Jab biyan karo gay tum hum biyan main niklein gay 
Hum hi dastaan ban kar dastan main niklein gay 

Ishq ho mohabbat ho payar ho keh chahat ho 
Hum to her samandar kay darmiyan main niklein gay 

Raat ka andhera hi raat main nahin hota 
Chand aur sitaray bhi Aasman main niklein gay 

Dekh tu kabhi shab ka karwan sitaron ka 
Noor kay kai meh'mal keh'kishan main niklein gay 

Boliyan zamanay ki mukhtalif to hoti hain 
Lafz pyar kay lakin her zuban main niklein gay 

Kaat kar badan sara qaash qaash main jhankein 
Aap kay hayolay hi qalb-o-jan main niklein gay 

Khaak ka samandar bhi kya ajab samandar hai 
Is jahan main doobein gay us jahan main niklein gay 

Qissa-e-sukhan goi jab Adeem aaye ga 
Hum bhi waqiya ban kar dastan main niklein gay 

Sirf sabz pattay hi pairr par nahin hotay 
Kuch na kuch prinday bhi Aashiyan main niklein gay 

Dariya se kohsaar se pehlay ki baat hai


Dariya se kohsaar se pehlay ki baat hai 
Insan her Aitabar se pehlay ki baat hai 

Nafrat se aur pyar se pehlay ki baat hai 
Yeh tujh par Aitabar se pehlay ki baat hai 

Jumbish thi aankh main bhi badan main bhi rooh thi 
Yeh baat intizaar se pehlay ki baat hai 

Dil meray ikhtiyar main hota to tha magar 
Yeh teray ikhtiyar se pehlay ki baat hai 

Jab dil pe neel ban kay wohi thein na khawaishein 
Yeh tujh sitam shaa'ar se pehlay ki baat hai 

Kuch saar'ban thay aur jars ki sada bhi thi 
Yeh baad-e-reh'guzar se pehlay ki baat hai 

Ik karwan aur ik tha meh'mal bhi darmiyan 
Yeh raah kay ghubaar se pehlay ki baat hai 

Woh Aah-e-dil shigaaf Adeem aur woh tarap 
Yeh dard kay khumaar se pehlay ki baat hai 

Ik dard tha kisi ki nishani diya hua 
Lakin yeh teray pyar se pehlay ki baat hai 

Ik aashiyan tha is main prinday bhi thay Adeem 
Yeh mousam-e-bahar se pehlay ki baat hai

Tum jee kay dekh lo keh yahan mar kay dekh lo


Tum jee kay dekh lo keh yahan mar kay dekh lo 
Ik be'hissi hai kuch bhi yahan kar kay dekh lo 

Kaisay hain log in ki tumhein kya misal doon 
Ja kar mujasamay kahin pathar kay dekh lo 

Sara jahan tum ko daraye ga raat din 
Ik baar tum kisi se zara dar kay dekh lo 

Humdardiyon ka bhaid abhi jaan jao gay 
Choti si ik aah zara bhar kay dekh lo 

Us ka haseen saath kahan aur main kahan 
Yeh khel bhi Adeem muqaddar kay dekh lo 

Deedar ki Adeem kahan intihaa koi 
Bas aaj kay liye ussay jee bhar kay dekh lo

Hairan hoon saray shaher ka kirdaar dekh kar


Hairan hoon saray shaher ka kirdaar dekh kar 
Sab jhuk gaye hain shah ka darbaar dekh kar

Apna watan hanoot laga laash ki tarah 
Aaya hon jab se misar kay meenar dekh kar 

Milta nahin kisi kay qadam se mera qadam 
Chalta nahin hoon waqat ki raftaar dekh kar

Pathar machal rahay hain zameen par paray huye 
Bayron-e-sehan shakh-e-samar baar dekh kar 

Rang urr gaya hai raat kay chehray ka kiyon Adeem 
Sehma hua hoon subha kay Aasaar dekh kar 

Yeh chaon to badan ko jalanay lagi  Adeem 
Baitha tha main to saya-e-dewar dekh kar


Dard hotay hain kai dil main chupanay kay liye


Dard hotay hain kai dil main chupanay kay liye 
Sab kay sab aansu nahin hotay bahanay kay liye 

Umar tanha kaat di wada nibhanay kay liye 
Ehad bandha tha kisi ne azmanay kay liye 

Yeh qafs hai ghar ki ziabaish barhanay kay liye 
Yeh prinday to nahin hain aashiyanay kay liye 

Kuch diye dear pe rakhnay hain waqat-e-intizaar 
Kuch diye laya hoon palkon par jalanay kay liye 

Woh ba'zahir to mila tha aik lamhay ko Adeem 
Umar sari chahiye us ko bhulanay kay liye 

Log zer-e-khaak bhi to doob jatay hain adeem 
Ik samandar hi nahin hai doob janay kay liye 

Tu pas-e-khanda labi aahon ki awazein to sun 
Yeh hansi to aayi hai aansu chupanay kay liye 

Koi gham ho koi dukh ho dard koi ho Adeem 
Muskurana par hi jata hai zamanay kay liye 


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...