Mar 31, 2017

Mohabbat main woh lamhaat intihaai moh'tabar hotay hain


Mohabbat main woh lamhaat intihaai moh'tabar hotay hain 

Jab "daikhna" Ibaadat 

Aur "choona" gunnah tasawur kiya jaye  

Rooh main koi gham hai po'sheeda


Rooh main koi gham hai po'sheeda 

Zindagi be'sabab udaas nahin 

December jab bhi aata hai


December jab bhi aata hai 

Woh pagli ....
Phir se beetay mousamon ki 

Talkhiyon ko yaad karti hai 
Purana card parhti hai 
Keh jis main uss ne likha tha 
Main loat'on ga december main 
Naye kapray banati hai 
Woh sara ghar sajaati hai 
December kay her ik din ko 
Woh gin gin kar bita'ti hai 
Joun hi 15 guzarti hai 
Woh kuch toot jati hai 
Magar phir bhi 
Purani albamon ko khol kar 
Maazi bulaati hai !!
Nahin maloom yeh uss ko 
Keh beetay waqat ki khushiyan 
Bhout takleef deti hain 
Mehaz dil ko jalaati hain ....
Youn hi din beet jatay hain 
December loat jata hai 
Magar woh khush feham larki 
Dobara se calender main 
December kay maheenay kay safhay ko 
Morr kar phir se 
December kay sehar main 
Doob jaati hai 
Keh aakhir uss ne likha tha 
Main loat'on ga december main 

Mar 29, 2017

Woh eenton ki wicktein , woh toota sa bala


Woh eenton ki wicktein , woh toota sa bala 
Woh galiyon ki ronaq , woh apna "Mohallah"

Woh jaibon main sikkay macchatay thay shor 
Ameeri kay woh din , woh matti ka gal'la 

Aye bachpan bata tu kahan kho gaya hai 
Ya keh de tu ab "Bara " ho gaya hai 

Khamoshi khaa gayi wa'garna


Khamoshi khaa gayi wa'garna 

Hum guftagoo kamaal kartay thay 

Mareez-e-ishq hai tu , dawa-e-dil samjh dil'bar ko


Mareez-e-ishq hai tu , dawa-e-dil samjh dil'bar ko 

Phir marz janay , dawa janay , shifa janay , khuda janay 

Uss ko chaha bhout magar woh mila nahin


Uss ko chaha bhout magar woh mila nahin 

Laakh koshishein ki faasla mitta hi nahin 

Uss ko zamanay ne majboor iss qadar kar diya keh woh 

Meri kisi sada pe thehra hi nahin 

Her kisi se poocha sabab uss kay na milnay ka 

Her aik ne bataya keh woh teray liye bana hi nahin 

Main tamaam tar koshishon kay ba'wajood haar gayi 

Aur woh ussay mil gaya , jis ne ussay maanga hi nahin 


Mar 28, 2017

Kabhi jo hum nahin hon gay


Kabhi jo hum nahin hon gay 

Kabhi jo hum nahin hon gay 
Kaho kis ko batao gay 
Woh apni uljhanein sari 
Woh be'chaini main doobay pal
Woh aankhon main chuppay aansu 
Kissay phir tum dikhao gay 
Bhout tum ko rula'ein gay 
Bhout chaho gay phir bhi tum 
Hamein na bhool pao gay 
Kabhi jo hum nahin hon gay 


Kai silsalay , kai khawab thay


Aik nazam , jo shayed tumharay liye kahi gayi 

Kai silsalay , kai khawab thay 
Jo teri talab kay junoon main 
Meri dasta'ras main nahin rahay 
Tujhay chahana meray bas main tha 
So wohi hua 
Magar uss kay baad kay mar'halay ....
Keh guzarna jin se mo'haal hai ....
Woh jo shab thi 
Teray wisaal ki 
Woh jo subha thi 
Naye saal ki 
Kahin kho gayi ....
Koi dar khulla 
Na hawa chali 
Faqat ik naqsh-e-khayal hai 
Jissay hum ne rakha aziz tar 
Magar ab woh naqsh-e-khayal bhi 
Tera aks-e-zohra jamaal bhi 
Teray aabru'on kay 
Bas ik isharay ka muntazir 
Mera ik shakista sawal bhi 
Meri rah'guzar ka ghubaar hai 


Milan ki aarzu karna , safar ki jutagoo karna


Milan ki aarzu karna , safar ki jutagoo karna
Jo tum ma'yoos ho jao to mujh se guftagoo karna 
Yeh aksar ho bhi jata hai keh koi kho bhi jaata hai 
Muqaddar ko satao gay 
To phir yeh bhi so jata hai 
Agar tum hosla rakho , wafa ka silsala rakho 
Jo tum se pyar kar baithay to uss se raabta rakho 
Main yeh da'way se kehta hoon 
Kabhi na'kaam na ho gay 
Mohabbat ko samjh jao 
Kabhi bad'naam na ho gay 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...