May 1, 2017

Ab to loat aa


Ab to loat aa

Bhout si garm do'pehrein 
Tanha guzar gayi hain !!
Bhout si khanak raatein 
Yaadon kay sang beet gayi hain
Ab to loat aa
Keh tanhai ka zehar rafta rafta 
Meray jisam ka sara lahu choos raha hai 
Tujh ko acha lagnay wala chehra 
Rafta rafta tujh se rooth raha hai 
Ab to loat aa !!

Zara si khaak sada baal-o-par main rakhtay hain


Zara si khaak sada baal-o-par main rakhtay hain 
Hum apnay saath zameen ko safar main rakhtay hain 

Udasiyan bhi basatay hain apnay seenay main 
Nishan-e-wusat-e-sehra bhi ghar main rakhtay hain 

Bhout udaas na ho shaam-e-be'chragh keh hum 
Sehar ki roshniyan chasham-e-tar main rakhtay hain 

Hamaray sach ki gawahi pe ungliyan na utha 
Yeh hi to aaib hum apnay hunar main rakhtay hain 

Baar haa un se na milnay ki qasam khataa hoon main


Baar haa un se na milnay ki qasam khataa hoon main 
Aur phir yeh baat qasdan bhool bhi jaata hoon main 

Doobtay daikhay hain in aankhon se itnay aaftaab 
Roshni kay naam se bhi ab laraz jata hoon main 

Itni afsurda dili Allah dushman ko na de 
Log hanstay hain to jee hi jee main sharmata hoon main 

Be'rukhi ko un ki sach much be'rukhi samjha 
Aaj apni is ghalat fehmi pe pachtata hoon main 

Chahata yeh hoon keh duniya mujh ko tanha chor de
Janay kiyon ab gham gusaari se bhi ghabraata hoon main 

Aye ehal-e-wafa daad-e-jafa kiyon nahin detay


Aye ehal-e-wafa daad-e-jafa kiyon nahin detay 
Soye huye zakhmon ko jaga kiyon nahin detay 

Iss jashan-e-chraghan se to behtar thay andheray 
In jhootay chraghon ko bujha kiyon nahin detay 

Jis main na koi rang na aahang na khushbu 
Tum aisay gulistaan ko jala kiyon nahin detay 

Deewar ka yeh azar suna jaye ga kab tak 
Dewaar agar hai to giraa kiyon nahin detay 

Chehron pe jo daalay huye baithay hain niqabein 
Unn logon ko mehfil se utha kiyon nahin detay 

Toba ka yahi waqat hai kya soch rahay ho 
Sajday main jabeeno ko jhuka kiyon nahin detay 

Yeh jhootay khuda mil kay dabo dain gay safeena 
Tum Hadi-e-bar'Haq ko sada kiyon nahin detay 


Apna ghar chor kay hum log wahan tak ponchay


Apna ghar chor kay hum log wahan tak ponchay 
Subh-e-farda ki kiran bhi na jahan tak ponchay 

Main ne aankhon main chupa rakhay hain kuch aur chragh 
Roshni subha ki shayed na yahan tak ponchay 

Be'kahay baat samjh lo to munasib ho ga 
Iss se pehlay keh yahi baat zuban tak ponchay 

Tum ne hum jaisay musafir bhi na daikhay hon gay 
Jo baharon se chalay aur khizan tak ponchay 

Aaj pindaar-e-tamana ka fasoon toot gaya
Chand kam zarf gillay nok-e-zuban tak ponchay 


Aik manoos si khushbu hai fiza main ab tak


Aik manoos si khushbu hai fiza main ab tak 
Paas se uth kay abhi koi gaya ho jaisay 

Ronaq-e-zeest se kuch youn hai taluq mujh ko 
Phool ' gulshan main tehar shaakh para ho jaisay 

Aadmi jaan kay khaata hai mohabbat main faraib 
Khud faraibi hi mohabbat ka sila ho jaisay 

Aik aansu bhi bahatay huye jee darta hai 
Mujh ko dar parda koi daikh raha ho jaisay 

Youn zamana gham-e-doran se daraata hai mujhay
Meray haq main gham-e-doran bhi khuda ho jaisay 


Apr 30, 2017

Yeh ilm hai woh zulm hi dhaa'ein gay umar bhar


Yeh ilm hai woh zulm hi dhaa'ein gay umar bhar 

Mola tu phir bhi zindagi unn ki daraz kar 

Siyah zulf ko jo ban sanwar kay daikhtay hain


Siyah zulf ko jo ban sanwar kay daikhtay hain 
Safaid baal kahan apnay sar kay daikhtay hain 

Suna hai fees hai kuch uss kay baat karnay ki 
Yeh fees kya hai abhi baat kar kay daikhtay hain 

Suna hai log siyah faam mah'jabeeno ko 
Laga kay dhoop main chashmay nazar kay daikhtay hain 

Suna hai jaib main muflis bhi maal rakhtay hain 
So muflis ki bhi jaibein katar kay daikhtay hain 

Suna hai shouq hai un ko bhi ghurr sawari ka 
Jo door se kharray ghamzay shatar kay daikhtay hain 

Suna hai apni baseerat pe naaz hai unn ko 
Jo raat ko bhi ujaalay sehar kay daikhtay hain 

Suna hai ishq main mushkil hai matric karna 
Result kuch bhi sahi form bhar kay daikhtay hain 

Adeeb-o-shair-o-fun'kaar botay hain jo shajar 
Yeh log phall nihaan apnay shajar kay daikhtay hain 

Suna hai marnay kay baad uss ki qadar hoti hai 
So chand din kay liye hum bhi mar kay daikhtay hain 

Qaid main guzar gayi jo umar baray kaam ki thi


Qaid main guzar gayi jo umar baray kaam ki thi 

Par main kya karti keh zanjeer teray naam ki thi 

Kya aisa nahin ho sakta Achanak tum chalay aayo


Kya aisa nahin ho sakta 
Achanak tum chalay aayo 
Suno......
Ab saans ki aamd-o-raft dushwaar lagti hai 
Mohabbat ki zubaan se zindagi be'zaar lagti hai 
Wafa ki yaad main her ik nigah ashk baar lagti hai 
Yeh kaisi raat hai aankhon main jo bay'daar lagti hai 
Kya aisa ho nahin sakta 
Achanak tum chalay aayo ......

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...